کفن باندھ سر پہ برائے بقا شہادت سعادت کا نعرہ لگا
Kafan Baandh Sar Pe Baraaye Baqa Shahaadat Saaadat Ka Naara Laga
Show
کفن باندھ سر پہ برائے بقا شہادت سعادت کا نعرہ لگا
کفن باندھ سر پہ برائے بقا شہادت سعادت کا نعرہ لگا
یہ کارِ شجاعت ہے کر ابتدا شہادت سعادت کا نعرہ لگا
۱
کہ تو ہے پرستارِ خیبر شکن علم تیرے سر پہ ہے سایہ فگن
پریشانیوں کا تجھے خوف کیا شہادت سعادت کا نعرہ لگا
بڑا محتشم ہے تیرا مرتبہ ہے حاصل تجھے سیدہ کی دعا
ذرا اپنے مولائی تیور دکھا شہادت سعادت کا نعرہ لگا
۲
ہے تو بوترابی عزادار ہے نبی کے گھرانے کا حبدار ہے
غلامِ شہنشاہِ کرب و بلا شہادت سعادت کا نعرہ لگا
یزیدی عناصر کا ہے سامنا ہے مطلوب پھر حر کا جوشِ وغا
وفاداریاں دے رہی ہیں صدا شہادت سعادت کا نعرہ لگا
۳
نہ کر فکر دنیائے فانی ہے یہ کبھی نہ کبھی جان جانی ہے یہ
تو بہتر یہی ہے امر ہو کے جا شہادت سعادت کا نعرہ لگا
جسارت دکھانے کے لمحے ہیں یہ شہادت کے پانے کے لمحے ہیں یہ
یہی وقت ہے جاگ یاسر رضا شہادت سعادت کا نعرہ لگا
Kafan Baandh Sar Pe Baraaye Baqa Shahaadat Saaadat Ka Naara Laga
Kafan baandh sar pe baraaye baqa shahaadat saaadat ka naara laga
Ye kaar-e-shujaaat hai kar ibtida shahaadat saaadat ka naara laga
1
Ke tu hai parastaar-e-Khaibar shikan alam tere sar pe hai saaya figan
Pareshaaniyoṅ ka tujhe khauf kya shahaadat saaadat ka naara laga
Bara mohtasham hai tera martaba hai haasil tujhe Sayyida ki dua
Zara apne Maulaai tewar dikha shahaadat saaadat ka naara laga
2
Hai tu Bu-Turaabi azaadaar hai Nabi ke gharaane ka hubdaar hai
Ghulaam-e-Shahanshaah-e-Karb o bala shahaadat saaadat ka naara laga
Yazidi anaasir ka hai saamna hai matlub phir Hur ka josh-e-wigha
Wafaadaariyaaṅ de rahi haiṅ sada shahaadat saaadat ka naara laga
3
Na kar fikr dunya-e-faani hai ye kabhi na kabhi jaan jaani hai ye
To behtar yehi hai amar ho ke jaa shahaadat saaadat ka naara laga
Jasaarat dikhaane ke lamhe haiṅ ye shahaadat ke paane ke lamhe haiṅ ye
Yehi waqt hai jaag Yasir Raza shahaadat saaadat ka naara laga