مطفول تجھ پہ جان پیمبر ہے کربلا
Jaane Payambar
Show
مطفول تجھ پہ جان پیمبر ہے کربلا
مطفول تجھ پہ جان پیمبر ہے کربلا
کتنا بلند تیرا مقدر ہے کربلا
۱
کعبے کی عظمتوں کا ہے مجھ کو بھی احترام
لیکن تیرا مقام کچھ اور ہے کربلا
۲
کتنی ہے خوش نصیب کہ اب تیرے پاسباں
عباس ابن ساقیِ کوثر ہے کربلا
۳
ارض نجف بھی کم نہیں تربت کے واسطے
کچھ اور تیری بات کا بستر ہے کربلا
۴
کوفہ ہے بے وفائی کا صحرائے تشنگی
اشہار کا وفا کا سمندر ہے کربلا
۵
ملتا نہیں پتہ کہیں فوج یزید کا
باقی ابھی حسین کا لشکر ہے کربلا
۶
پھیلی ہوئی ہے خون شہیداں کی روشنی
تنویر حق سے اب بھی منور ہے کربلا
۷
لیلیٰ کا اور رباب کا دل دفن ہے یہاں
آرام گاہ اکبر و اصغر ہے کربلا
۸
جس پہ رسول پاک کے بوسے کے ہیں نشاں
اب اس گلے پہ شمر کا خنجر ہے کربلا
۹
دو گز کفن بھی دے نہ سکی امت رسول
جلتی زمیں پہ لاشہء سرور ہے کربلا
۱۰
عرفان اور وقار نے سر کو جھکا دیا
سجدوں کے اعتبار کا محور ہے کربلا
Jaane Payambar
Matful tujh pe jaan-e-Payambar hai Karbala
Kitna buland tera muqaddar hai Karbala
1
Kaabe ki azmatoṅ ka hai mujh ko bhi ehteraam
Lekin tera maqaam kuch aur hai Karbala
2
Kitni hai khushnasib ke ab tere paasbaaṅ
Abbas ibn-e-Saaqi-e-Kausar hai Karbala
3
Arz-e-Najaf bhi kam nahiṅ turbat ke waaste
Kuch aur teri baat ka bistar hai Karbala
4
Kufa hai bewafaai ka sehra-e-tashnagi
Ash-haar ka wafa ka samandar hai Karbala
5
Milta nahiṅ pata kahiṅ fauj-e-Yazid ka
Baaqi abhi Husain ka lashkar hai Karbala
6
Phaili hui hai khun-e-shahidaaṅ ki roshni
Tanvir-e-Haq se ab bhi munawwar hai Karbala
7
Laila ka aur Rabab ka dil dafn hai yahaaṅ
Aaraam-gaah-e-Akbar o Asghar hai Karbala
8
Jis pe Rasul-e-Paak ke bose ke haiṅ nishaaṅ
Ab is gale pe Shimr ka khanjar hai Karbala
9
Do gaz kafan bhi de na saki ummat-e-Rasul
Jalti zamiṅ pe laasha-e-Sarwar hai Karbala
10
Irfan aur Viqar ne sar ko jhuka diya
Sajdoṅ ke aetbaar ka mehwar hai Karbala