جلتے جھولے کی راکھ پہ بیٹھی
Jaane Kiuṅ Naizoṅ
Show
جلتے جھولے کی راکھ پہ بیٹھی
جلتے جھولے کی راکھ پہ بیٹھی
ماں کی نظریں ہیں نیزے والوں پر
جانے کیوں نیزوں سے ایک سر تلاش کرتے ہیں
وہ ماں کے سامنے اصغر تلاش کرتے ہیں
۱
ہے شیر خوار کا خیبر شکن کا سر تو نہیں
جسے یزید کے لشکر تلاش کرتے ہیں
۲
لعین نیزے سے اصغر تلاش کر کے بھی
ذبح کے واسطے خنجر تلاش کرتے ہیں
۳
وہ نیزے جن پہ ہے اصغر تیرا لہو تازہ
وہ اب رباب کی چادر تلاش کرتے ہیں
۴
سکینہ کیسے جھلاتی تھی جھولہء اصغر
حسین رو کے وہ منظر تلاش کرتے ہیں
۵
وہ مسکرانے کا لیتے ہیں اس طرح بدلہ
وہ اس کی لاش کو ہنس کر تلاش کرتے ہیں
۶
وہ ایسے مار رہے ہیں زمین پر نیزے
کہ جیسے سر نہیں پتھر تلاش کرتے ہیں
۷
چھپا لیا نہ ہو تیروں کے درمیان کہیں
وہ شہ کے سینے کے اوپر تلاش کرتے ہیں
۸
بتول نوحے پہ مجھ کو وہ اجر دیں گی رضا
جسے تمام سخنور تلاش کرتے ہیں
Jaane Kiuṅ Naizoṅ
Jalte jhule ki raakh pe baithi
Maaṅ ki nazreiṅ haiṅ naize waaloṅ par
Jaane kiuṅ naizoṅ se ek sar talaash karte haiṅ
Wo maaṅ ke saamne Asghar talaash karte haiṅ
1
Hai shir khwaar ka Khaibar shikan ka sar to nahiṅ
Jise Yazid ke lashkar talaash karte haiṅ
2
Laain naize se Asghar talaash kar ke bhi
Zibh ke waaste khanjar talaash karte haiṅ
3
Wo naize jin pe hai Asghar tera lahu taaza
Wo ab Rabaab ki chaadar talaash karte haiṅ
4
Sakina kaise jhulaati thi jhula-e-Asghar
Husain ro ke wo manzar talaash karte haiṅ
5
Wo muskuraane ka lete haiṅ is tarah badla
Wo is ki laash ko hans kar talaash karte haiṅ
6
Wo aise maar rahe haiṅ zamin par naize
Ke jaise sar nahiṅ patthar talaash karte haiṅ
7
Chhupa liya na ho tiroṅ ke darmiyaan kahiṅ
Wo shah ke sine ke upar talaash karte haiṅ
8
Batul nauhe pe mujh ko wo ajr deiṅ gi Raza
Jise tamaam sukhanwar talaash karte haiṅ