اس جواں کی مگر بات ہی اور ہے
Is Jawaaṅ Ki Magar
Show
اس جواں کی مگر بات ہی اور ہے
اس جواں کی مگر بات ہی اور ہے
۱
نازِ ہر دو جہاں شِہ کے لشکر میں ہیں
سارے شیرِ جہاں شِہ کے لشکر میں ہیں
کتنے ابرو کماں شِہ کے لشکر میں ہیں
کیسے کیسے جواں شِہ کے لشکر میں ہیں
۲
اُن میں حیدر کے سروے صحیح کد بھی ہیں
باغِ مُسلم کے سیوو بھائی خد بھی ہیں
معدنِ حق کے لال و زبرجد بھی ہیں
یوں تو قاسم بھی عون و محمد بھی ہیں
۳
کون ہے جان کو جس نے وارا نہیں
کون ہے جو کہ آنکھوں کا تارا نہیں
کون ہے جو کہ شاہِ دیں کو پیارا نہیں
کس نے گھوڑے سے گر کر پُکارا نہیں
۴
کس نے شِہ سے بلاؤں کو ٹالا نہیں
خود کو دُشمن کی فوجوں میں ڈالا نہیں
کون ہے جو کہ گھر کا اُجالا نہیں
کون ہے جس کو زینب نے پالا نہیں
۵
کھا کہ تیغیں گرے رن میں کیا کیا حسیں
لاش پر جن کی تنہا گئے شاہِ دیں
کانپ اُٹھا فلک اور لرزی زمیں
بیبیاں پھر بھی خیمے سے نکلی نہیں
۶
کس نے زخمِ سناں دل پہ کھایا نہیں
کس نے سینے کو چھلنی بنایا نہیں
کس کے لاشے کو شِہ نے اُٹھایا نہیں
ہاتھ لیکن بہن نے بٹایا نہیں
۷
رن میں ہر ایک ایسا تھا شیریں زبان
جس کے لہجے پہ داؤد بھی دے دے جان
ان میں جس کو بھی کہتے شہِ انس و جان
صبح عاشور وہ بڑھ کے دیتا اذان
Is Jawaaṅ Ki Magar
Is jawaaṅ ki magar baat hi aur hai
1
Naaz-e-har do jahaaṅ Shah ke lashkar meiṅ haiṅ
Saare sher-e-jahaaṅ Shah ke lashkar meiṅ haiṅ
Kitne abru kamaaṅ Shah ke lashkar meiṅ haiṅ
Kaise kaise jawaaṅ Shah ke lashkar meiṅ haiṅ
2
Un meiṅ Haidar ke sarwe sahi khad bhi haiṅ
Baagh-e-Muslim ke saywo bahi khad bhi hai
Maadan-e-haq ke laal o zabarjad bhi haiṅ
Yuṅ to Qasim bhi Aun o Muhammad bhi haiṅ
3
Kaun hai jaan ko jis ne waara nahiṅ
Kaun hai jo ke aankhoṅ ka taara nahiṅ
Kaun hai jo Shah-e-diṅ ko pyaara nahiṅ
Kis ne ghore se gir kar pukaara nahiṅ
4
Kis ne Shah se balaaoṅ ko taala nahiṅ
Khud ko dushman ki faujoṅ meiṅ daala nahiṅ
Kaun hai jo ke ghar ka ujaala nahiṅ
Kaun hai jis ko Zainab ne paala nahiṅ
5
Khaa ke teghe gire ran meiṅ kya kya hasiṅ
Laash par jin ki tanha gaye Shah-e-diṅ
Kaaṅp utha falak aur larzi zamiṅ
Bibiyaaṅ phir bhi khaime se nikli nahiṅ
6
Kis ne zakhm-e-sinaaṅ dil pe khaaya nahiṅ
Kis ne sine ko chhalni banaaya nahiṅ
Kis ke laashe ko Shah ne uthaaya nahiṅ
Haath lekin behan ne bataaya nahi
7
Ran meiṅ har ek aisa tha shiriṅ zabaan
Jis ke lahje pe Daud bhi de de jaan
In meiṅ jis ko bhi kahte Shah-e-ins o jaan
Subh-e-Aashur wo barh ke deta azaan