Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

اس بات سے ظاہر ہے رتبہ علی اکبر کا

Is Baat Se Zaahir Hai

Add to set
Show

اس بات سے ظاہر ہے رتبہ علی اکبر کا

اس بات سے ظاہر ہے رتبہ علی اکبر کا ہوتا ہے اذانوں میں چرچہ علی اکبر کا
۱ اے حر تیری قسمت نے کیوں آج یہ کروٹ لی کیا صبح کو دیکھا ہے چہرہ علی اکبر کا
۲ شبیر جھلاتے تھے عباس کے جھولے کو عباس جھلاتے ہیں جھولا علی اکبر کا
۳ پوچھا گیا یوسف سے جب حسن کے بارے میں ہنس کر کہا یہ تو ہے صدقہ علی اکبر کا
۴ یہ رتبۂ اکبر ہے حیدر کے گھرانے میں آغوش ہے پھپھی کی جھولا علی اکبر کا
۵ اس ماں کا مقدر بھی کیا خوب مقدر ہے جس ماں کو بھی مل جائے صدقہ علی اکبر کا
۶ لیلیٰ نے کہا بیٹھوں کس طرح میں سائے میں پھرتا ہے نگاہوں میں چہرہ علی اکبر کا
۷ پوچھا گیا جب شہ سے کیوں خم ہے کمر مولا بولے کہ اٹھایا تھا لاشہ علی اکبر کا

Is Baat Se Zaahir Hai

Is baat se zaahir hai rutba Ali Akbar ka Hota hai azaanoṅ meiṅ charcha Ali Akbar ka
1 Ae Hur teri qismat ne kiuṅ aaj ye karwat li Kya subh ko dekha hai chehra Ali Akbar ka
2 Shabbir jhulaate the Abbas ke jhule ko Abbas jhulaate haiṅ jhula Ali Akbar ka
3 Puchha gaya Yusuf se jab husn ke baare meiṅ Haṅs kar kaha ye to hai sadqa Ali Akbar ka
4 Ye rutba-e-Akbar hai Haidar ke gharaane meiṅ Aaghosh hai phuphi ki jhula Ali Akbar ka
5 Us maaṅ ka muqaddar bhi kya khub muqaddar hai Jis maaṅ ko bhi mil jaaye sadqa Ali Akbar ka
6 Laila ne kaha baithuṅ kis tarah maiṅ saaye meiṅ Phirta hai nigaahoṅ meiṅ chehra Ali Akbar ka
7 Puchha gaya jab Shah se kiuṅ kham hai kamar Maula Bole ke uthaaya tha laasha Ali Akbar ka