Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

آتی ہے خیمے کے در سے یہ صدا

Haaye Chacha Jaan

Add to set
Show

آتی ہے خیمے کے در سے یہ صدا

آتی ہے خیمے کے در سے یہ صدا عباس عباس عباس آئے نہیں کیوں نہر سے اب تک چچا عباس عباس عباس
۱ غل ہے یہ کیسا مچا ہائے چچا جان میرے سانحہ گزرا ہے کیا ہائے چچا جان میرے کرتے ہیں سب کیوں بکا ہائے چچا جان میرے گھٹنے لگا دم میرا ہائے چچا جان میرے
۲ بابا بھی ہیں نوحہ گر ہائے چچا جان میرے پیٹتے ہیں اپنا سر ہائے چچا جان میرے رہ گئے کیوں نہر پر ہائے چچا جان میرے لوٹ کے آئے نہ گھر ہائے چچا جان میرے
۳ دیر کیوں اتنی لگی ہائے چچا جان میرے کیوں نہ خبر میری لی ہائے چچا جان میرے یاد نہ آئی میری ہائے چچا جان میرے مجھ سے خطا کیا ہوئی ہائے چچا جان میرے
۴ دیر کا ہے کیا سبب ہائے چچا جان میرے درد ہے دل میں عجب ہائے چچا جان میرے پیاس سے ہوں جاں بلب ہائے چچا جان میرے دیکھیے آتے ہیں کب ہائے چچا جان میرے
۵ روتا ہے سب گھر کا گھر ہائے چچا جان میرے پکڑے ہیں بابا کمر ہائے چچا جان میرے کر گئے کس جا سفر ہائے چچا جان میرے شور ہے کیوں نہر پر ہائے چچا جان میرے
۶ ملتی نہیں کچھ خبر ہائے چچا جان میرے کیا کروں جاؤں کدھر ہائے چچا جان میرے ہو گیا ویران گھر ہائے چچا جان میرے لگتا ہے اب مجھ کو ڈر ہائے چچا جان میرے
۷ کرتی ہوں جب میں فغاں ہائے چچا جان میرے روتے ہیں شاہ زماں ہائے چچا جان میرے کس سے کروں یہ بیاں ہائے چچا جان میرے وقت ہے نامہرباں ہائے چچا جان میرے
۸ ڈھونڈنے جاؤں کہاں ہائے چچا جان میرے میرے انیس ہو کہاں ہائے چچا جان میرے حشر ہے گھر میں عیاں ہائے چچا جان میرے پیاس سے دل ہے تپاں ہائے چچا جان میرے

Haaye Chacha Jaan

Aati hai khaime ke dar se ye sada Abbas Abbas Abbas Aaye nahiṅ kiuṅ nahr se ab tak chacha Abbas Abbas Abbas
1 Ghul hai ye kaisa macha Haaye chacha jaan mere Saaniha guzra hai kya Haaye chacha jaan mere Karte haiṅ sab kiuṅ buka Haaye chacha jaan mere Ghutne laga dam mera Haaye chacha jaan mere
2 Baba bhi haiṅ nauhagar Haaye chacha jaan mere Pitte haiṅ apna sar Haaye chacha jaan mere Rah gaye kiuṅ nahr par Haaye chacha jaan mere Laut ke aaye na ghar Haaye chacha jaan mere
3 Der kiuṅ itni lagi Haaye chacha jaan mere Kiuṅ na khabar meri li Haaye chacha jaan mere Yaad na aayi meri Haaye chacha jaan mere Mujh se khata kya hui Haaye chacha jaan mere
4 Der ka hai kya sabab Haaye chacha jaan mere Dard hai dil meiṅ ajab Haaye chacha jaan mere Pyaas se huṅ jaaṅ balab Haaye chacha jaan mere Dekhiye aate haiṅ kab Haaye chacha jaan mere
5 Rota hai sab ghar ka ghar Haaye chacha jaan mere Pakre haiṅ baba kamar Haaye chacha jaan mere Kar gaye kis jaa safar Haaye chacha jaan mere Shor hai kiuṅ nahr par Haaye chacha jaan mere
6 Milti nahiṅ kuchh khabar Haaye chacha jaan mere Kya karuṅ jaauṅ kidhar Haaye chacha jaan mere Ho gaya wiraan ghar Haaye chacha jaan mere Lagta hai ab mujh ko dar Haaye chacha jaan mere
7 Karti huṅ jab maiṅ fughaaṅ Haaye chacha jaan mere Rote haiṅ Shaah-e-zamaaṅ Haaye chacha jaan mere Kis se karuṅ ye bayaaṅ Haaye chacha jaan mere Waqt hai namehrbaaṅ Haaye chacha jaan mere
8 Dhundne jaauṅ kahaaṅ Haaye chacha jaan mere Mere Anis ho kahaaṅ Haaye chacha jaan mere Hashr hai ghar meiṅ ayaaṅ Haaye chacha jaan mere Pyaas se dil hai tapaaṅ Haaye chacha jaan mere