ایک روایت میں ہے کہ بعد اسیری سجاد
Haaye Chacha Abbas
Show
ایک روایت میں ہے کہ بعد اسیری سجاد
ایک روایت میں ہے کہ بعد اسیری سجاد
پہنچے اعجاز سے جب ماریہ میں زین العبا
دیکھا کہ قبر وہاں کھودتے ہیں کچھ افراد
باقی مصروف ہیں دفنانے میں کرکے فریاد
آپ نے لاشۂ فرزند نبی دفنایا
قبر میں لاشۂ عباس کو بھی پہنچایا
یہاں قبیلہ اسد کرتا ہے اس طرح بیاں
قبر سے جب نہ چچا کی ہوئے سجاد عیاں
ہم کو تشویش ہوئی قبر میں دیکھا تو وہاں
لاش سے لپٹے ہوئے کرتے ہیں سجاد فغاں
آپ کے بعد چچا ایسی تباہی آئی
قتل بابا ہوئے مارے گئے سارے بھائی
ہائے چچا عباس ہائے چچا عباس
کوئی نہیں ہے پاس ہائے چچا عباس
۱
بعد تمہارے عمو دلاور
برچھی سے چھیدا سینہ اکبر
لاشہ اٹھا کر لائے سرور
غم سے بپا تھا خیمے میں محشر
۲
اصغر پہ تھا پیاس کا غلبہ
پانی پلانے لے گئے بابا
اہل جفا نے رحم نہ کھایا
پانی کے بدلے تیر لگایا
۳
رن میں بنا کر تربت اصغر
سر کو جھکائے بے حد مضطر
آئے شہہ دیں خیمے کے در پر
حال یہ تھا پہچانی نہ خواہر
۴
بابا نے دیکھی جو یہ حالت
دل بھر آیا ہو گئی رقت
نام ہر اک کا لے کے با الفت
کہنے لگے ہیں تم سے بھی رخصت
۵
سن کے پھوپھی آواز برادر
لپٹ گئیں ماں جائے سے جا کر
فرمایا پھر بھائی سے رو کر
حال ہے یہ کس واسطے ابتر
۶
سبط نبی نے تب فرمایا
اصغر نے اک ناوک کھایا
خون پسر چہرے پہ لگایا
رن میں اسے میں نے دفنایا
۷
کیسے کہوں اے شہہ کے برادر
چل گیا حلق شاہ پہ خنجر
جل گئے خیمے اور میرا بستر
چھن گئی ماں بہنوں کی چادر
۸
کوئی انیس اپنا نہیں باقی
اعدا نے مجھ کو پہنائی
طوق و سلاسل ہتھکڑی بیڑی
جکڑی رسن سے زہرہ کی جائی
Haaye Chacha Abbas
Ek riwaayat meiṅ hai ke baad-e-asiri Sajjad
Pahunche hijaaz se jab maaria meiṅ zainuliba
Dekha ke qabr wahaaṅ khodte haiṅ kuchh afraad
Baaqi masruf haiṅ dafnaane meiṅ karke faryaad
Aap ne laasha-e-farzand-e-Nabi dafnaaya
Qabr meiṅ laasha-e-Abbas ko bhi pahunchaaya
Yahaaṅ qabila-e-Asad karta hai is tarah bayaaṅ
Qabr se jab na chacha ki hue Sajjad ayaaṅ
Hum ko tashwish hui qabr meiṅ dekha to wahaaṅ
Laash se lipte hue karte haiṅ Sajjad fughaaṅ
Aap ke baad chacha aisi tabaahi aayi
Qatl baba hue maare gaye saare bhaai
Haaye chacha Abbas haaye chacha Abbas
Koi nahiṅ hai paas haaye chacha Abbas
1
Baad tumhaare amme dilaawar
Barchhi se chheda sina-e-Akbar
Laasha utha kar laaye Sarwar
Gham se bapa tha khaime meiṅ mahshar
2
Asghar pe tha pyaas ka ghalba
Paani pilaane le gaye baba
Ahl-e-jafa ne rahm na khaaya
Paani ke badle tir lagaaya
3
Ran meiṅ bana kar turbat-e-Asghar
Sar ko jhukaaye behad muztar
Aaye Shah-e-diṅ khaime ke dar par
Haal ye tha pahchaani na khaahar
4
Baba ne dekhi jo ye haalat
Dil bhar aaya ho gayi riqqat
Naam har ek ka le ke ba ulfat
Kahne lage haiṅ tum se bhi rukhsat
5
Sun ke phuphi aawaaz-e-biraadar
Lipat gayiṅ maaṅ jaaye se jaa kar
Farmaaya phir bhaai se ro kar
Haal hai ye kis waaste abtar
6
Sibt-e-Nabi ne tab farmaaya
Asghar ne ek naawak khaaya
Khun-e-pisar chehre pe lagaaya
Ran meiṅ use maiṅ ne dafnaaya
7
Kaise kahuṅ ae Shah ke biraadar
Chal gaya halq-e-Shaah pe khanjar
Jal gaye khaime aur mera bistar
Chhin gayi maaṅ bahnoṅ ki chaadar
8
Koi Anis apna nahiṅ baaqi
Aada ne mujh ko pahnaayi
Tauq o salaasil hathkari beri
Jakri rasan se Zehra ki jaayi