ہے شام غریباں
Hai Shaam-e-Gharibaṅ
Show
ہے شام غریباں
ہے شام غریباں
جلتے ہوئے خیمے ہیں ہر سوں دھواں دھواں
ہے شام غریباں ہے شام غریباں
۱
کربل میں ڈھل گئے ہیں شام الم کے سائے
بیٹھی ہے دکھی زینب لاشوں پہ سر جھکائے
ہے ڈھونڈتی مقتل میں بچوں کو بیبیاں
۲
وارث گئے سب مارے جائے تو کدھر جائے
الحفیظ کی ہے آ رہی صدائیں
ہو گئی ہے سر برہنہ زہرا کی بیٹیاں
۳
بابا کی صدا سن کر آئی لاش پہ سکینہ
جس سینے پہ سوتی تھی آیا نظر کہیں نہ
بابا کا چھدا سینہ تیروں کے درمیاں
۴
جلتا ہوا دامن ہے کانوں سے لہو جاری
ہے مارتے طمانچے قرآن کے یہ قاری
کہتی تھی رو سکینہ بابا ہو تم کہاں
۵
جو حسبنا تھے کہتے یہ انہیں کا ہی چلن ہے
خورشید کربلا میں ہر لاش بیکفن ہے
پامال ہوا کربل ہے ناطق قرآن
Hai Shaam-e-Gharibaṅ
Hai shaam-e-gharibaṅ
Jalte hue khaime haiṅ har suṅ dhuaaṅ dhuaaṅ
Hai shaam-e-gharibaṅ hai shaam-e-gharibaṅ
1
Karbal meiṅ dhal gaye haiṅ shaam-e-alam ke saaye
Baithi hai dukhi Zainab laashoṅ pe sar jhukaaye
Hai dhundti maqtal meiṅ bachchoṅ ko bibiyaṅ
2
Waaris gaye sab maare jaaye to kidhar jaaye
Al haafiz o hafiz ki hai aa rahi sadaaeṅ
Ho gayi hai sar barehna Zahra ki betiyaṅ
3
Baaba ki sada sun kar aayi laash pe Sakina
Jis sine pe soti thi aaya nazar kahiṅ na
Baaba ka chhida sina tiroṅ ke darmiyaaṅ
4
Jalta hua daaman hai kaanoṅ se lahu jaari
Hai maarte tamaache Quraan ke ye qaari
Kehti thi ro Sakina baaba ho tum kahaaṅ
5
Jo hasbuna the kehte ye unhiṅ ka hi chalan hai
Khurshid Karbala meiṅ har laash bekafan hai
Paamaal hua Karbal hai naatiq-e-Quraan