Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

ہے سلام اس پہ کہ جو

Hai Salaam Us Pe Jo

Add to set
Show

ہے سلام اس پہ کہ جو

ہے سلام اس پہ کہ جو قیدی بھی ہے بیمار بھی ہے پاؤں میں آبلے ہیں آبلوں میں خار بھی ہیں
۱ پوچھا اک شخص نے شبیر تیرے کون ہیں رو کے فرمانے لگے بابا بھی ہے سردار بھی ہے
۲ پہنچے نزدیک جو لاشے کے سکینہ نے کہا یہ میرے بابا کا بھائی بھی علمدار بھی ہے
۳ پہنچے نزدیک کوفے کے تو بولی زینب سر بھی عریاں ہے بلوہ بھی بازار بھی ہے

Hai Salaam Us Pe Jo

Hai salaam us pe ke jo Qaidi bhi hai bimaar bhi hai Paauṅ meiṅ aable haiṅ Aabloṅ meiṅ khaar bhi haiṅ
1 Puchha ik shakhs ne Shabbir tere kaun haiṅ Ro ke farmaane lage Baba bhi hai sardaar bhi hai
2 Pahuṅche nazdik jo Laashe ke Sakina ne kaha Ye mere baba ka Bhaai bhi alamdaar bhi hai
3 Pahuṅche nazdik Kufe ke To boli Zainab Sar bhi uryaaṅ hai Balwa bhi baazaar bhi hai