شرف کے شہر میں ہر بام و در حسین کا ہے
Ghar Husain Ka Hai
Show
شرف کے شہر میں ہر بام و در حسین کا ہے
شرف کے شہر میں ہر بام و در حسین کا ہے
زمانے بھر کے گھرانوں میں گھر حسین کا ہے
۱
فراتِ وقتِ رواں دیکھ سوئے مقتل دیکھ
جو سر بلند ہے اب بھی وہ سر حسین کا ہے
۲
زمین کھا گئی کیا کیا بلند و بالا درخت
ہرا بھرا ہے جو اب بھی شجر حسین کا ہے
۳
سوال بیعت شمشیر پر جواز بہت
مگر جواب وہی معتبر حسین کا ہے
۴
محبتوں کے حوالوں میں ذکر آنے لگا
یہ لفظ بھی تو میرے حال پر حسین کا ہے
۵
حضورِ شافعِ محشر علی کہے کے یہ شخص
گناہ گار بہت ہے مگر حسین کا ہے
Ghar Husain Ka Hai
Sharaf ke shehr meiṅ har baam o dar Husain ka hai
Zamaane bhar ke gharaanoṅ meiṅ ghar Husain ka hai
1
Furaat-e-waqt-e-rawaaṅ dekh su-e-maqtal dekh
Jo sar buland hai ab bhi wo sar Husain ka hai
2
Zamin khaa gayi kya kya buland o baala darakht
Hara bhara hai jo ab bhi shajar Husain ka hai
3
Sawaal-e-baiat-e-shamshir par jawaaz bahut
Magar jawaab wohi motabar Husain ka hai
4
Mohabbatoṅ ke hawaaloṅ meiṅ zikr aane laga
Ye fazl bhi to mere haal par Husain ka hai
5
Huzur-e-Shaafe-e-Mahshar Ali kahe ke ye shakhs
Gunaahgaar bahut hai magar Husain ka hai