گھر ہوگیا نبی کا برباد کربلا میں
Ghar Hogaya Nabi
Show
گھر ہوگیا نبی کا برباد کربلا میں
گھر ہوگیا نبی کا برباد کربلا میں
مردوں میں بس بچے ہیں سجاد کربلا میں
۱
عباس ہیں نہ اکبر زینب کسے پکارے
مقتل میں بجھ گئے ہیں گھر کے چراغ سارے
رنج و الم سے دل ہے آباد کربلا میں
۲
زینب نے کیسے دل میں اس درد کو چھپایا
کس درجہ صابرہ تھی آنسو نہ اک بہایا
بھائی پہ کر کے صدقے اولاد کربلا میں
۳
زینب کو کربلا میں کتنے غموں نے لوٹا
سیدانیوں کے زیور نامحرموں نے لوٹا
کیا کیا نہ گزری ہائے بیداد کربلا میں
۴
سب چھینتے تھے ظالم بیواؤں کی چادروں کو
حسرت سے دیکھتی تھی احباب کے سروں کو
کوئی نہ تھا جو سنتا فریاد کربلا میں
۵
ماؤں کی گودیاں بھی رن میں اجڑ گئی ہے
صحرا میں وارثوں سے اپنے بچھڑ گئی ہے
بس رہ گئی ہے باقی اک یاد کربلا میں
۶
بعدِ حسین اختر زینب کا تھا یہ نوحہ
عباس ہے نہ قاسم کس کو بلاؤں بابا
آجاؤ تم ہی بہرِ امداد کربلا میں
Ghar Hogaya Nabi
Ghar ho gaya Nabi ka barbaad Karbala meiṅ
Mardoṅ meiṅ bas bache haiṅ Sajjad Karbala meiṅ
1
Abbas haiṅ na Akbar Zainab kise pukaare
Maqtal meiṅ bujh gaye haiṅ ghar ke chiraagh saare
Ranj o alam se dil hai aabaad Karbala meiṅ
2
Zainab ne kaise dil meiṅ is dard ko chhupaaya
Kis darja saabira thi aaṅsu na ek bahaaya
Bhai pe kar ke sadqe aulaad Karbala meiṅ
3
Zainab ko Karbala meiṅ kitne ghamoṅ ne luta
Sayyidaaniyoṅ ke zewar naamehramoṅ ne luta
Kya kya na guzri haaye bedaad Karbala meiṅ
4
Sab chhinte the zaalim bewaoṅ ki chaadaroṅ ko
Hasrat se dekhti thi ahbaab ke saroṅ ko
Koi na tha jo sunta faryaad Karbala meiṅ
5
Maaoṅ ki godiyaaṅ bhi ran meiṅ ujar gayi hai
Sahra meiṅ waarisoṅ se apne bichhar gayi hai
Bas reh gayi hai baaqi ek yaad Karbala meiṅ
6
Baad-e-Husain Akhtar Zainab ka tha ye noha
Abbas hai na Qasim kis ko bulaauṅ Baba
Aa jaao tum hi bahr-e-imdaad Karbala meiṅ