دُخترِ شبیر کی تشنہ دہانی دیکھ کر
Dukhtar-e-Shabbir Ki
Show
دُخترِ شبیر کی تشنہ دہانی دیکھ کر
دُخترِ شبیر کی تشنہ دہانی دیکھ کر
خون آنکھوں میں اُتر آتا ہے پانی دیکھ کر
۱
دونوں ہاتھوں سے جگر کو تھام کر تڑپے حُسین
خاک میں ملتی محمد کی نشانی دیکھ کر
۲
عکس پیاسوں کا نظر آیا جو سطحِ آب پر
رو دیئے عباس دریا کی روانی دیکھ کر
۳
پانی پانی ہو گئیں دریا کی موجیں شرم سے
حضرتِ عباس کی آنکھوں میں پانی دیکھ کر
۴
تک رہے ہیں پیار سے بیٹے کی صورت کو حُسین
موت روتی ہے سرہانے نوجوانی دیکھ کر
۵
سر پٹختی ہے بہن خیمے میں روتے ہیں حرم
حلقِ شاہِ دین پر خنجر کی روانی دیکھ کر
۶
ہائے کیا بتلائیں کیا گُزری دلِ شبیر پر
گھوڑوں کی ٹاپوں میں بھائی کی نشانی دیکھ کر
۷
خشک ہونٹوں پر پھرائی جب زبان بے شیر نے
رو دیا لشکر ادائے بے زبانی دیکھ کر
Dukhtar-e-Shabbir Ki
Dukhtar-e-Shabbir ki tashna dahaani dekh kar
Khun aankhoṅ meiṅ utar aata hai paani dekh kar
1
Donoṅ haathoṅ se jigar ko thaam kar tarpe Husain
Khaak meiṅ milti Muhammad ki nishaani dekh kar
2
Aks pyaasoṅ ka nazar aaya jo satah-e-aab par
Ro diye Abbas darya ki rawaani dekh kar
3
Paani paani ho gayiṅ darya ki maujeṅ sharm se
Hazrat-e-Abbas ki aankhoṅ meiṅ paani dekh kar
4
Tak rahe haiṅ pyaar se bete ki surat ko Husain
Maut roti hai sarhaane naujawaani dekh kar
5
Sar patakhti hai behan khaime meiṅ rote haiṅ haram
Halq-e-Shaah-e-din par khanjar ki rawaani dekh kar
6
Haaye kya batlaaeṅ kya guzri dil-e-Shabbir par
Ghoroṅ ki taapoṅ meiṅ bhai ki nishaani dekh kar
7
Khushk hontoṅ par phiraai jab zabaan beshir ne
Ro diya lashkar adaa-e-bezabaani dekh kar