Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

ہائے سکینہ ہائے ہائے سکینہ

Dukhtar-e-Shabbir Hai

Add to set
Show

ہائے سکینہ ہائے ہائے سکینہ

ہائے سکینہ ہائے ہائے سکینہ
دختر شبیر ہے اور قید خانہ شام کا درد کی تصویر ہے اور قید خانہ شام کا
۱ کہتے تھے سجاد رو کر کیسے بہلاؤں میں خواہر یہ تیرا مجبور بھائی کیا سنائے تجھ کو آ کر پاؤں میں زنجیر ہے اور قید خانہ شام کا
۲ خاک ہی بستر ہے تیرا خاک ہی تکیہ ہے تیرا رائیگاں اے میری خواہر ہر گھڑی رونا ہے تیرا اب یہی تقدیر ہے اور قید خانہ شام کا
۳ میں کہاں سے لاؤں بیٹا زخم کا مرہم بتا دے تجھ کو کھانے ہیں یہاں پر گھرکیاں اور تازیانے ایک تو دلگیر ہے اور قید خانہ شام کا
۴ اشک غم پیتی رہو اب غم پہ غم سہتی رہو جس طرح بھی ہو میسر قید میں جیتی رہو اب یہی توقیر ہے اور قید خانہ شام کا
۵ باپ کی فرقت میں جینا ہے بڑا مشکل مگر جو مقدر میں لکھا ہے صبر کر لے صبر کر درد کی تطہیر ہے اور قید خانہ شام کا
۶ دیکھ تیرے غم میں روتی ہے پھپھی زینب تیری ختم ہو جائے نہ روتے روتے ان کی زندگی وارث تطہیر ہے اور قید خانہ شام کا
۷ ایک سکوں کا سانس لینا بھی یہاں ممکن نہیں جیتے جی تیری رہائی میری جاں ممکن نہیں وقت کی زنجیر ہے اور قید خانہ شام کا
۸ قید میں سجاد کہتے تھے یہ مظہر عابدی کس طرح تقدیر بگڑی مصطفیٰ کے آل کی قلب میں یہ تیر ہے اور قید خانہ شام کا

Dukhtar-e-Shabbir Hai

Haaye Sakina haaye haaye Sakina
Dukhtar-e-Shabbir hai aur qaid khaana Shaam ka Dard ki tasvir hai aur qaid khaana Shaam ka
1 Kehte the Sajjad ro kar kaise behlaauṅ maiṅ khwaahar Ye tera majbur bhaai kya sunaaye tujh ko aa kar Paaoṅ meiṅ zanjir hai aur qaid khaana Shaam ka
2 Khaak hi bistar hai tera khaak hi takiya hai tera Raaegaaṅ ae meri khwaahar har ghari rona hai tera Ab yehi taqdir hai aur qaid khaana Shaam ka
3 Maiṅ kahaaṅ se laauṅ beta zakhm ka marham bata de Tujh ko khaane haiṅ yahaaṅ par ghurkiyaaṅ aur taaziyaane Ek tu dilgir hai aur qaid khaana Shaam ka
4 Ashk-e-gham piti raho ab gham pe gham sehti raho Jis tarah bhi ho mayassar qaid meiṅ jiti raho Ab yehi tauqir hai aur qaid khaana Shaam ka
5 Baap ki furqat meiṅ jina hai bara mushkil magar Jo muqaddar meiṅ likha hai sabr kar le sabr kar Dard ki tahrir hai aur qaid khaana Shaam ka
6 Dekh tere gham meiṅ roti hai phuphi Zainab teri Khatm ho jaaye na rote rote un ki zindagi Waaris-e-tathir hai aur qaid khaana Shaam ka
7 Ek sukuṅ ka saans lena bhi yahaaṅ mumkin nahiṅ Jite ji teri rihaai meri jaaṅ mumkin nahiṅ Waqt ki zanjir hai aur qaid khaana Shaam ka
8 Qaid meiṅ Sajjad kehte the ye Mazhar Abidi Kis tarah taqdir bigri Mustafa ke aal ki Qalb meiṅ ye tir hai aur qaid khaana Shaam ka