Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

بیقرار ہے مادر ہائے جل گیا جھولا

Beqarar Hai Maadar

Add to set
Show

بیقرار ہے مادر ہائے جل گیا جھولا

بیقرار ہے مادر ہائے جل گیا جھولا ہائے جل گیا جھولا ہائے جل گیا جھولا
۱ اس کی یاد جب آتی دیکھ کر سکوں پاتی صبر آئے گا کیوں کر ہائے جل گیا جھولا
۲ گود ہو گئی خالی قتل ہو گیا والی کس سے میں کہوں جا کر ہائے جل گیا جھولا
۳ خون بن کے صدموں سے بہہ رہا ہے آنکھوں سے دل پہ چل گیا خنجر ہائے جل گیا جھولا
۴ کس قدر ہے سناٹا کچھ نظر نہیں آتا ہے دھواں دھواں منظر ہائے جل گیا جھولا
۵ ماں کے دل سے آنکھوں تک جس کی راکھ پھیلی ہے وہ نشانیٔ اصغر ہائے جل گیا جھولا
۶ پہلا زخم یہ کھایا وہ نہ لوٹ کر آیا دوسرا لگا نشتر ہائے جل گیا جھولا
۷ کیسے دن گزاروں گی بس یہی پکاروں گی خاک ہو گیا بستر ہائے جل گیا جھولا
۸ بھولنا ہے ناممکن یاد آئے گا ہر دن کیسے دل کروں پتھر ہائے جل گیا جھولا
۹ اے سرور وہ مضطر بے زباں کی تربت پر کہہ رہی تھی رو رو کر ہائے جل گیا جھولا

Beqarar Hai Maadar

Beqaraar hai maadar haaye jal gaya jhula Haaye jal gaya jhula haaye jal gaya jhula
1 Us ki yaad jab aati dekh kar sukuṅ paati Sabr aaye ga kiuṅ kar haaye jal gaya jhula
2 God ho gayi khaali qatl ho gaya waali Kis se maiṅ kahuṅ jaa kar haaye jal gaya jhula
3 Khun ban ke sadmoṅ se beh raha hai aankhoṅ se Dil pe chal gaya khanjar haaye jal gaya jhula
4 Kis qadar hai sannaata kuchh nazar nahiṅ aata Hai dhuaaṅ dhuaaṅ manzar haaye jal gaya jhula
5 Maaṅ ke dil se aankhoṅ tak jis ki raakh phaili hai Wo nishaani-e-Asghar haaye jal gaya jhula
6 Pehla zakhm ye khaaya wo na laut kar aaya Dusra laga nashtar haaye jal gaya jhula
7 Kaise din guzaaruṅ gi bas yehi pukaaruṅ gi Khaak ho gaya bistar haaye jal gaya jhula
8 Bhulna hai naamumkin yaad aaye ga har din Kaise dil karuṅ patthar haaye jal gaya jhula
9 Ae Surur wo muztar bezabaaṅ ki turbat par Keh rahi thi ro ro kar haaye jal gaya jhula