ہائے زینب ہائے زینب
Beparda Shaam Ki
Show
ہائے زینب ہائے زینب
ہائے زینب ہائے زینب
بے پردہ شام کی گلیوں میں
تطہیر کی چادر والی ہے
کوٹھوں سے برستے ہیں پتھر
اٹھارہ برادر والی ہے
۱
حسنین کی جو ماں جائی ہے
وہ قیدی بن کے آئی ہے
اک جشن بپا بازار میں ہے
ناموس پیمبر والی ہے
۲
سر زخمی ہے زخمی ہے بدن
بے چادر ہے ہاتھوں میں رسن
جرأت بھی شجاعت بھی لیکن
عباس دلاور والی ہے
۳
بے گور و کفن اسلام تھا جب
دے کر چادر بولی زینب
یہ ساری سخاوت خوں میں میرے
تاثیر یہ حیدر والی ہے
۴
دروں کی اذیت سہتی ہوئی
تا شام گئی یہ کہتی ہوئی
یہ خطبوں کی تلوار نہیں
تحریر یہ شبر والی ہے
۵
جس وقت اذاں راہوں میں سنی
سر ڈھانپ کے ہاتھوں سے بولی
اے نانا دن یہ درد کے ہیں
یہ بات مقدر والی ہے
۶
عباس کا سر نیزے سے گرا
سر زینب کا دیکھا جو کھلا
یہ تازہ مصیبت غازی پر
شمشیر سکندر والی ہے
۷
دربار ستم میں شہزادی
پہنچی تو قیامت برپا تھی
ہر ایک ستمگر کہتا تھا
یہ ساعت محشر والی ہے
۸
کہتی تھی سکینہ رو رو کر
کب جائیں گے زندان سے گھر
زینب نے کہا یہ بات نہ کر
یہ چوٹ ہے خنجر والی ہے
۹
اے ناصر اے ریحان عزا
زینب کو یہ کہہ کر دو پرسہ
یہ اشک نہیں رک سکتے کبھی
یہ موج سمندر والی ہے
Beparda Shaam Ki
Haaye Zainab haaye baazaar
Beparda Shaam ki galiyoṅ meiṅ
Tathir ki chaadar waali hai
Kotthoṅ se baraste haiṅ patthar
Athaara baraadar waali hai
1
Hasnain ki jo maaṅ jaai hai
Wo qaidi ban ke aai hai
Ik jashn bapa baazaar meiṅ hai
Naamus-e-Payambar waali hai
2
Sar zakhmi hai zakhmi hai badan
Bechaadar hai haathoṅ meiṅ rasan
Jurat bhi shujaat bhi lekin
Abbaas-e-dilaawar waali hai
3
Begor o kafan Islaam tha jab
De kar chaadar boli Zainab
Ye saari sakhaawat khuṅ meiṅ mere
Taasir ye Haidar waali hai
4
Durroṅ ki aziyat sehti hui
Taa Shaam gayi ye kehti hui
Ye khutboṅ ki talwaar nahiṅ
Tahrir ye Shabbar waali hai
5
Jis waqt azaaṅ raahoṅ meiṅ suni
Sar dhaaṅp ke haathoṅ se boli
Ae naana din ye dard ke haiṅ
Ye baat muqaddar waali hai
6
Abbaas ka sar naize se gira
Sar Zainab ka dekha jo khula
Ye taaza musibat Ghaazi par
Shamshir Sikandar waali hai
7
Darbaar-e-sitam meiṅ shahzaadi
Pahunchi to qayaamat barpa thi
Har ek sitamgar kehta tha
Ye saaat mahshar waali hai
8
Kehti thi Sakina ro ro kar
Kab jaayeṅ ge zindaan se ghar
Zainab ne kaha ye baat na kar
Ye chot hai khanjar waali hai
9
Ae Naasir ae Rehaan-e-aza
Zainab ko ye keh kar do pursa
Ye ashk nahiṅ ruk sakte kabhi
Ye mauj samandar waali hai