بے مقنہ و چادر سر بازار ہے زینب
Be Maqna o Chaadar
Show
بے مقنہ و چادر سر بازار ہے زینب
بے مقنہ و چادر سر بازار ہے زینب
عباس کھلے سر سر بازار ہے زینب
یا عباس یا عباس
۱
ایک بار بس ایک بار مجھے دیکھ لے بھیا
اے میرے مددگار مجھے دیکھ لے بھیا
مر جائے گی خواہر سر بازار ہے زینب
۲
میں تیری بہن ہوں یہ زمانے کو خبر ہے
ہر دیکھنے والے کی میرے سر پہ نظر ہے
پر درد ہے منظر سر بازار ہے زینب
۳
بن بھائی کے ایک بہن کا کیا جینے میں جینا
عباس سحن کیسے کروں پھٹتا ہے سینہ
مر جانا ہے بہتر سر بازار ہے زینب
۴
دے حکم کہ پھٹ جائے زمیں مجھ کو سما لے
بے درد زمانے کی جفاؤں سے بچا لے
اے وقت کے حیدر سر بازار ہے زینب
۵
دورانِ سفر سر پہ تیرا ہاتھ ہے بھیا
اتنا ہی بہت ہے تو میرے ساتھ ہے بھیا
ایک تیرے ہی دم پر سر بازار ہے زینب
۶
کل تیرے بھروسے پہ چلی تھی میں وطن سے
کیا بات ہے کچھ بول دو اے بھائی بہن سے
اے عزم کے پیکر سر بازار ہے زینب
۷
رہوار کی گردن میں ہے اس وقت تیرا سر
عباس مگر پھر بھی لرزتے ہیں ستمگر
اس ڈر کی بنا پر سر بازار ہے زینب
۸
اس واسطے دیتی ہوں مسلسل میں صدائیں
ہوتی ہیں یہاں مجھ پہ جفاؤں پہ جفائیں
اے میرے غضنفر سر بازار ہے زینب
۹
آصف ہو رقم کیسے غم زینب مضطر
عامر ہو بیاں کیسے کہ زینب تھا لب پر
یہ میرا مقدر سر بازار ہے زینب
Be Maqna o Chaadar
Bemaqna o chaadar sar-e-bazaar hai Zainab
Abbas khule sar sar-e-bazaar hai Zainab
Ya Abbas ya Abbas
1
Ek baar bas ek baar mujhe dekh le bhaiya
Ae mere madadgaar mujhe dekh le bhaiya
Mar jaae gi khwaahar sar-e-bazaar hai Zainab
2
Maiṅ teri behan huṅ ye zamaane ko khabar hai
Har dekhne waale ki mere sar pe nazar hai
Pur dard hai manzar sar-e-bazaar hai Zainab
3
Bin bhaai ke ek behan ka kya jine meiṅ jina
Abbas sehan kaise karuṅ phatta hai sina
Mar jaana hai behtar sar-e-bazaar hai Zainab
4
De hukm ke phat jaae zamiṅ mujh ko sama le
Bedard zamaane ki jafaaoṅ se bacha le
Ae waqt ke Haidar sar-e-bazaar hai Zainab
5
Dauraan-e-safar sar pe tera haath hai bhaiya
Itna hi bahut hai tu mere saath hai bhaiya
Ek tere hi dam par sar-e-bazaar hai Zainab
6
Kal tere bharose pe chali thi maiṅ watan se
Kya baat hai kuchh bol do ae bhaai behan se
Ae azm ke paikar sar-e-bazaar hai Zainab
7
Rahwaar ki gardan meiṅ hai is waqt tera sar
Abbas magar phir bhi larazte haiṅ sitamgar
Is dar ki bina par sar-e-bazaar hai Zainab
8
Is waaste deti huṅ musalsal maiṅ sadaaeṅ
Hoti haiṅ yahaaṅ mujh pe jafaaoṅ pe jafaaeṅ
Ae mere Ghazanfar sar-e-bazaar hai Zainab
9
Asif ho raqam kaise gham-e-Zainab-e-muztar
Aamir ho bayaaṅ kaise ke Zainab ke tha lab par
Ye mera muqaddar sar-e-bazaar hai Zainab