ان جکڑے ہوئے ہاتھوں کی قسم
Bazaaroṅ Mein Darbaaroṅ Mein
Show
ان جکڑے ہوئے ہاتھوں کی قسم
ان جکڑے ہوئے ہاتھوں کی قسم
غازی کی بہن کا وعدہ ہے
ماتم ہوگا ماتم ہوگا
۱
یہ زینب نے اعلان کیا
بازاروں میں درباروں میں
غازی کا میرے ماتم ہوگا
بازاروں میں درباروں میں
۲
نہ تخت رہا نہ تاج رہا
نہ ظلم رہا نہ راج رہا
اک شور ہے ماتم داری کا
بازاروں میں درباروں میں
۳
نہ قاتل ہے نہ باطل ہے
اے دنیا آ کے دیکھ ذرا
شبیر کے ماتم کی ہے صدا
بازاروں میں درباروں میں
۴
ہم ٹھوک کے سینہ کہتے ہیں
ہم رکنے نہیں دیں گے ماتم
ہر حال میں یہ ماتم ہوگا
بازاروں میں درباروں میں
۵
یہ سینے نہیں دیواریں ہیں
یہ ہاتھ نہیں تلواریں ہیں
لو آ گیا لشکر زینب کا
بازاروں میں درباروں میں
۶
او شامیوں ہمت ہے روکو
مظلوم بہن کو بھائی کا
ہم دینے آئے ہیں پرسہ
بازاروں میں درباروں میں
۷
دے حکم اگر تو شہزادی
یہ بہتے ہوئے اشکوں کی قسم
ہم خوں کا بچھا دے فرش عزا
بازاروں میں درباروں میں
۸
اس شام کے اس بازار سے ہی
یہ کہہ کر گزری تھی زینب
غازی کا علم لہرائے گا
بازاروں میں درباروں میں
۹
پابند رسن مجبور ہوں میں
اے شامیوں کھلے ہو ہاتھ تو پھر
شبیر کا تم ماتم کر لو
بازاروں میں درباروں میں
۱۰
زینب کی تمنا ہے گوہر
ہو ایسا قیامت کا ماتم
خود دیکھنے آئے کربوبلا
بازاروں میں درباروں میں
Bazaaroṅ Mein Darbaaroṅ Mein
In jakre hue haathoṅ ki qasam
Ghazi ki behan ka waada hai
Maatam hoga maatam hoga
1
Ye Zainab ne elaan kiya
Bazaaroṅ meiṅ darbaaroṅ meiṅ
Ghazi ka mere maatam hoga
Bazaaroṅ meiṅ darbaaroṅ meiṅ
2
Na takht raha na taaj raha
Na zulm raha na raaj raha
Ek shor hai maatam daari ka
Bazaaroṅ meiṅ darbaaroṅ meiṅ
3
Na qaatil na baatil hai
Ae duniya aa ke dekh zara
Shabbir ke maatam ki hai sada
Bazaaroṅ meiṅ darbaaroṅ meiṅ
4
Ham thok ke sina kehte haiṅ
Ham rukne nahiṅ deṅ ge maatam
Har haal meiṅ ye maatam hoga
Bazaaroṅ meiṅ darbaaroṅ meiṅ
5
Ye sine nahiṅ diwaareṅ haiṅ
Ye haath nahiṅ talwaareṅ haiṅ
Lo aa gaya lashkar Zainab ka
Bazaaroṅ meiṅ darbaaroṅ meiṅ
6
O Shaamiyoṅ himmat hai roko
Mazlum behan ko bhaai ka
Ham dene aae haiṅ pursa
Bazaaroṅ meiṅ darbaaroṅ meiṅ
7
De hukm agar tu shahzaadi
Ye behte hue ashkoṅ ki qasam
Ham khuṅ ka bichha de farsh-e-aza
Bazaaroṅ meiṅ darbaaroṅ meiṅ
8
Is Shaam ke is bazaar se hi
Ye keh kar guzri thi Zainab
Ghazi ka alam lehraae ga
Bazaaroṅ meiṅ darbaaroṅ meiṅ
9
Paaband-e-rasan majbur huṅ maiṅ
Ae Shiyoṅ khule ho haath to phir
Shabbir ka tum maatam kar lo
Bazaaroṅ meiṅ darbaaroṅ meiṅ
10
Zainab ki tamanna hai Gohar
Ho aisa qayaamat ka maatam
Khud dekhne aae Karbobala
Bazaaroṅ meiṅ darbaaroṅ meiṅ