ایک روز ایک صاحبِ زلفِ دراز نے
Aik Roz Aik Sahib
Show
ایک روز ایک صاحبِ زلفِ دراز نے
ایک روز ایک صاحبِ زلفِ دراز نے
ہم سے کہا کہ کب یہ ہنر مند کی بات ہے
آتا نہیں ہے ذکرِ رسولِ خدا تمہیں
بس فاطمہ کی بات ہے، حیدر کی بات ہے
۱
میں نے کہا کہ ذکرِ رسولِ خدا کروں
کہنے لگے کہ ہاں یہی جوہر کی بات ہے
۲
میں نے کیا جو دعوتِ اول کا تذکرہ
بولے ہٹاؤ اس میں تو حیدر کی بات ہے
۳
میں نے کہا جہادِ پیمبر کروں بیان
خندق کا ذکر ہے کہیں خیبر کی بات ہے
کہنے لگے کہ اور کوئی تذکرہ کرو
اس میں تو ساف حیدرِ داور کی بات ہے
۴
میں نے سنایا آیہ تطہیر کا نزول
بولے ہٹاؤ اِس میں تو ایک گھر کی بات ہے
میں نے سنایا آیہ تطہیر کا نزول
بولے کے گھر میں رہنے دو یہ گھر کی بات ہے
۵
میں نے نبی کی بت شکنی کا کیا جو ذکر
بولے کہ دکھتی ہوئی رگ کو نہ چھیڑیے
پاءِ علی و دوشِ پیمبر کی بات ہے
۶
میں نے سنایا جب شبِ ہجرت کا واقعہ
بولے کہ یہ رسول کے بستر کی بات ہے
۷
میں نے نبی کے آخری حج کا کیا جو ذکر
بولے کہ یہ غدیر کے ممبر کی بات ہے
۸
میں نے کہا کہ ذکرِ نبی یا اللہ کس طرح کروں
احمد کی بات بات میں حیدر کی بات ہے
بولے کہ ذکر اوروں کا آتا نہیں ہے کیوں
میں نے کہا کہ یہ تو مقدر کی بات ہے
Aik Roz Aik Sahib
Ek roz ek sahib-e zulf-e daraaz ne
Hum se kaha ke kab yeh hunar-mand ki baat hai
Aata nahiṅ hai zikr-e Rasul-e Khuda tumheiṅ
Bas Fatima ki baat hai, Haider ki baat hai
1
Maiṅ ne kaha ke zikr-e Rasul-e Khuda karuṅ
Kehne lage ke haaṅ yahi jauhar ki baat hai
2
Maiṅ ne kiya jo dawat-e awwal ka tazkira
Bole hatao is meiṅ to Haider ki baat hai
3
Maiṅ ne kaha jihad-e Payambar karuṅ bayan
Khandaq ka zikr hai kahiṅ Khyber ki baat hai
Kehne lage ke aur koi tazkira karo
Is meiṅ to saaf Haider-e Dawar ki baat hai
4
Maiṅ ne sunaya Ayah-e Tathir ka nuzul
Bole hatao is meiṅ to ek ghar ki baat hai
Maiṅ ne sunaya Ayah-e Tathir ka nuzul
Bole ke ghar meiṅ rehne do yeh ghar ki baat hai
5
Maiṅ ne Nabi ki but-shikani ka kiya jo zikr
Bole ke dukhti hui rag ko na chheriye
Pa-e Ali o dosh-e Payambar ki baat hai
6
Maiṅ ne sunaya jab shab-e hijrat ka waqia
Bole ke yeh Rasul ke bistar ki baat hai
7
Maiṅ ne Nabi ke aakhri Hajj ka kiya jo zikr
Bole ke yeh Ghadir ke mimbar ki baat hai
8
Maiṅ ne kaha ke zikr-e Nabi ya Allah kis tarah karuṅ
Ahmad ki baat baat meiṅ Haider ki baat hai
Bole ke zikr auroṅ ka aata nahiṅ hai kiuṅ
Maiṅ ne kaha ke yeh to muqaddar ki baat hai