اگر نہ ہوتیں جناب زینبؑ نہ ہوتا اللہ کا نام لیوا
Agar Na Hotin Janabe Zainab

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Agar na hotin Janab-e Zainab, na hota Allah ka naam lewa
Agar na hotin Janab-e Zainab, na deen hota na hota kalma
Agar na hotin Janab-e Zainab, Husain ka kaam tha adhoora
Agar na hotin Janab-e Zainab, Husain ki kaun thi shareeka
Husain ki hai shareeka Zainab, nahin hai koi shareek un ka
Agar na hotin Janab-e Zainab, to kaun Abid ke saath chalta
Yazeed ne apne taur par to liya tha Badr-o-Uhad ka badla
Agar na hotin Janab-e Zainab, na bajta deen-e Khuda ka danka
Sahabiyat ki naqab chehre pe dale rakhi thi ahl-e shar ne
Agar na hotin Janab-e Zainab, dikhayi deta na asli chehra
Yazeed ailaniya tha karta sharab noshi siyah kari
Agar na hotin Janab-e Zainab, to kaun dikhlata haq ka rasta
Yazeed tha bhanja nawasa saleebiyon ka to is liye bhi
Agar na hotin Janab-e Zainab, to hota batil ka daur daura
Yazeed takzeeb kar raha tha nuzool-e wahi aur Rasool-e Haq ki
Agar na hotin Janab-e Zainab, to kaun haq ka lagata naara
The sare hirs-o-hawas ke bande, ya khauf aur maslahat ke mare
Agar na hotin Janab-e Zainab, kahin na milta Khuda ka banda
The saath go Imam-e dauran bhi aur ahl-e haram bhi lekin
Agar na hotin Janab-e Zainab, na hoti taskheer-e Shaam-o-Kufa
Ali ki beti ne har qadam par bayan kiya maqsad-e shahadat
Agar na hotin Janab-e Zainab, taaruf-e Karbala na hota
Thi chunke tashheer aur aseeri bhi Shah ke imtihaan mein shamil
Agar na hotin Janab-e Zainab, to kaise hota yeh ahd poora
Banu Umayya mita rahe the tamam aasar-e deen yaksar
Agar na hotin Janab-e Zainab, Muawiyat par naqab rehta
Qalam farosh-o-zameer murda chale the tareekh maskh karne
Agar na hotin Janab-e Zainab, shareef kehlati nasal-e Hinda
Hua jo baad-e shahadat un ke, woh hota Karb-o-Bala se pehle
Agar na hotin Janab-e Zainab, tabah hote Madina Makkah
Yeh jitne Hafiz hain aur Qari hain sab pe khutbat in ke bhari
Agar na hotin Janab-e Zainab, na hota Quran parhne wala
Ginayen kya kya fazail in ke, yeh kehna kafi hai Sibt-e Jafar
Agar na hotin Janab-e Zainab, na jane kya hota kya na hota