Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

ہاے ہاے شام ہاے ہاے شام

Ab Wo Sajjad Na

Add to set
Show

ہاے ہاے شام ہاے ہاے شام

ہاے ہاے شام ہاے ہاے شام نوکِ نیزہ سے دیکھ لو بابا اب وہ سجاد نہ رہا سجاد جس گھڑی بے ردا ہوئی زینب کربلا میں ہی مر گیا سجاد
۱ کیا ہے پردہ یہ شام والوں کو تیری دادی نے ہی سکھایا ہے انہی لوگوں نے میری پھوپھیوں کو بے ردا شام میں پھرایا ہے کیا غضب ہے کہ ہاتھ پھیلا کر مانگتا ہے بس ایک ردا سجاد
۲ ہاے جس نے بغیر محمل کے گھر سے باہر قدم نہ رکھا تھا اس پھوپھی کو زمانے والوں نے آپ کے بعد بے ردا دیکھا کاش عباس آج ہوتے تو یہ قیامت نہ دیکھتا سجاد
۳ سر پہ جب تک تھا آپ کا سایہ ماؤں بہنوں کے سر پہ تھی چادر ورنہ میں بھی علی کا بیٹا ہوں جانتا ہوں میں جنگ کے جوہر دیکھ کر بے ردا پھوپھی کا سر شرم کے مارے جھک گیا سجاد
۴ ننھے بچوں کے ہاتھ میں پتھر دے کے مارا گیا سکینہ کو پشت ناقہ سے بھی گرایا اور تازیانے لگے یتیمہ کو میں بندھے ہاتھ دیکھ کر رویا اس نے ہر درد پر کہا سجاد
۵ بدر و خیبر کی جو عداوت تھی اس کا یوں انتقام لیتے ہیں شام کے لوگ بھیڑ میں ہر دم میری پھوپھیوں کا نام لیتے ہیں تازیانے تو سہہ گیا بابا طنز لیکن نہ سہہ سکا سجاد
۶ اس طرح سے بندھے ہیں رسی سے ہاتھ میرے گلے یتیموں کے نہ جھکوں تو زمین سے بابا پاؤں اٹھتے ہیں ننھے بچوں کے بس رکوع میں ہی شکر کے سجدے کر کے گزرے گا اب تیرا سجاد
۷ جس بہن نے ہمیشہ جینے کی ہاے عباس کو دعائیں دی بے ردا سر پہ رکھ کے ہاتھوں کو اس نے عباس کو صدائیں دی سر سناں سے وہاں گرا ان کا اور یہاں خاک پر گرا سجاد
۸ اپنے مولا کے ایک آنسو کا حق ادا نہ صحاب کر پایا گرتے اشکوں کی روشنائی سے دل کے قرطاس پر یہی لکھا کتنا گہرا تھا غم رداؤں کا یا خدا جانتا ہے یا سجاد

Ab Wo Sajjad Na

Haye haye Shaam haye haye Shaam Nok-e-neza se dekh lo Baba Ab woh Sajjad na raha Sajjad Jis ghari berida hui Zainab Karbala meiṅ hi mar gaya Sajjad
1 Kya hai parda ye Shaam waloṅ ko Teri daadi ne hi sikhaya hai Unhi logoṅ ne meri phuphiyoṅ ko Berida Shaam meiṅ phiraya hai Kya ghazab hai ke haath phaila kar Maangta hai bas ek rida Sajjad
2 Haye jis ne baghair mehmil ke Ghar se baahar qadam na rakha tha Us phuphi ko zamane waloṅ ne Aap ke baad berida dekha Kaash Abbas aaj hote to Ye qayamat na dekhta Sajjad
3 Sar pe jab tak tha aap ka saaya Maoṅ behnoṅ ke sar pe thi chadar Warna maiṅ bhi Ali ka beta huṅ Jaanta huṅ maiṅ jang ke jauhar Dekh kar berida phuphi ka sar Sharm ke maare jhuk gaya Sajjad
4 Nanhe bachchoṅ ke haath meiṅ patthar De ke maara gaya Sakina ko Pusht-e-naqa se bhi giraya aur Taziyane lage yatima ko Maiṅ bandhe haath dekh kar roya Us ne har dard par kaha Sajjad
5 Badr o Khaibar ki jo adawat thi Us ka yuṅ inteqam lete haiṅ Shaam ke log bhir meiṅ har dam Meri phuphiyoṅ ka naam lete haiṅ Taziyane to seh gaya Baba Tanz lekin na seh saka Sajjad
6 Is tarha se bandhe haiṅ rassi se Haath mere gale yatimoṅ ke Na jhukuṅ to zamin se Baba Paoṅ uthte haiṅ nanhe bachchoṅ ke Bas ruku meiṅ hi shukr ke sajde Kar ke guzrega ab tera Sajjad
7 Jis behen ne hamesha jine ki Haye Abbas ko duaeṅ di Berida sar pe rakh ke haathoṅ ko Us ne Abbas ko sadaeṅ di Sar sinaṅ se wahaṅ gira un ka Aur yahaṅ khaak par gira Sajjad
8 Apne Maula ke ek aaṅsu ka Haq ada na Sahab kar paaya Girte ashkoṅ ki roshnai se Dil ke qirtas par yehi likha Kitna gehra tha gham ridaoṅ ka Ya Khuda jaanta hai ya Sajjad