Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

سر جھکا کر شہ والا سے یہ غازی نے کہا

Ab Wo Lashkar Hai

Add to set
Show

سر جھکا کر شہ والا سے یہ غازی نے کہا

سر جھکا کر شہ والا سے یہ غازی نے کہا اب وہ لشکر ہے کہاں جس کا علمدار ہوں میں
۱ اب تو تنہائی کے حملے ہیں غموں کے ڈیرے سر کٹاے ہوے سوتے ہیں سپاہی میرے دم الجھتا ہے میرا قیدیء اعزار ہوں میں اب وہ لشکر ہے کہاں جس کا علمدار ہوں میں
۲ یہی احساس کیے رہتا ہے مجھ کو بے چین میرے ہوتے ہوئے پیاسے رہے طفلانِ حسین اب یہ عالم ہے میرا جینے سے بیزار ہوں میں اب وہ لشکر ہے کہاں جس کا علمدار ہوں میں
۳ اے میرے مالک و مختار شہنشاہِ امم دو مجھے اذن تمہیں پیاسی سکینہ کی قسم نہر کی سمت رواں ہونے کو تیار ہوں میں اب وہ لشکر ہے کہاں جس کا علمدار ہوں میں
۴ جو تمنا ہے میرے دل میں اجاگر کر دوں زندگی آپ کے بچوں پہ نچھاور کر دوں روز اول خداے شہ ابرار ہوں میں اب وہ لشکر ہے کہاں جس کا علمدار ہوں میں
۵ بیکسی ضعف و نقاہت نہیں دیکھی جاتی پیاسے بچوں کی یہ حالت نہیں دیکھی جاتی جان دینے کے لئے بچوں پہ تیار ہوں میں اب وہ لشکر ہے کہاں جس کا علمدار ہوں میں
۶ غم زدہ بیکس و مظلوم حزینہ کے لئے جان جاتی ہے چلی جائے سکینہ کے لیے آپ کا آپ کے بچوں کا وفادار ہوں میں اب وہ لشکر ہے کہاں جس کا علمدار ہوں میں
۷ آپ کا اذن جو مل جاے شہنشاہِ حزیں نہر خیمے میں نہ لاؤں تو میں عباس نہیں جس کو مانگا تھا علی نے وہی جرار ہوں میں اب وہ لشکر ہے کہاں جس کا علمدار ہوں میں
۸ خون رونے لگے اس وقت شہ نیک حزال جس گھڑی شیر دلاور نے فرمایا بلال آپ پر جان فدا کرنے کا حقدار ہوں میں اب وہ لشکر ہے کہاں جس کا علمدار ہوں میں

Ab Wo Lashkar Hai

Sar jhuka kar Shah-e-Wala se ye Ghazi ne kaha Ab woh lashkar hai kahaaṅ jis ka Alamdar huṅ maiṅ
1 Ab to tanhai ke hamle haiṅ ghamoṅ ke dere Sar katae huwe sote haiṅ sipahi mere Dam ulajhta hai mera qaidi-e-azar huṅ maiṅ Ab woh lashkar hai kahaaṅ jis ka Alamdar huṅ maiṅ
2 Yehi ehsas kiye rehta hai mujhko bechain Mere hote huwe pyase rahe tiflan-e-Husain Ab ye aalam hai mera jine se bezar huṅ maiṅ Ab woh lashkar hai kahaaṅ jis ka Alamdar huṅ maiṅ
3 Ae mere Malik o Mukhtar Shahanshah-e-Umam Do mujhe izn tumheiṅ pyasi Sakina ki qasam Nehr ki samt rawaṅ hone ko tayyar huṅ maiṅ Ab woh lashkar hai kahaaṅ jis ka Alamdar huṅ maiṅ
4 Jo tamanna hai mere dil meiṅ ujagar kar duṅ Zindagi aap ke bachchoṅ pe nichhavar kar duṅ Roz-e-awwal Khuda-e-Shah-e-Abrar huṅ maiṅ Ab woh lashkar hai kahaaṅ jis ka Alamdar huṅ maiṅ
5 Bekasi zoaf o naqaahat nahiṅ dekhi jaati Pyase bachchoṅ ki ye haalat nahiṅ dekhi jaati Jaan dene ke liye bachchoṅ pe tayyar huṅ maiṅ Ab woh lashkar hai kahaaṅ jis ka Alamdar huṅ maiṅ
6 Ghamzada bekas o mazlum hazina ke liye Jaan jaati hai chali jaaye Sakina ke liye Aap ka aap ke bachchoṅ ka wafadar huṅ maiṅ Ab woh lashkar hai kahaaṅ jis ka Alamdar huṅ maiṅ
7 Aap ka izn jo mil jaaye Shahanshah-e-haziṅ Nehr khaime meiṅ na lauṅ to maiṅ Abbas nahiṅ Jis ko maanga tha Ali ne wohi Jarrar huṅ maiṅ Ab woh lashkar hai kahaaṅ jis ka Alamdar huṅ maiṅ
8 Khun rone lage us waqt Shah-e-nek-hizal Jis ghari Sher-e-Dilawar ne farmaya Bilal Aap par jaan fida karne ka haqdar huṅ maiṅ Ab woh lashkar hai kahaaṅ jis ka Alamdar huṅ maiṅ