عباس آؤ بابا کو رخصت کرو
Aao Baba ko rukhsat karo

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Betiyan thin, janaza tha, ehsaas tha
Door baba ki mayyat se Abbas tha
Waqt-e rukhsat ka faraj hataya gaya
Aakhri baar chehra dikhaya gaya
Apne Abbas ka jab khayal aa gaya
De ke awaz Shabbir ne yeh kaha
Abbas! Aao baba ko rukhsat karo
Aaj bazu bhi hain aur janaza bhi hai
Aao baba ko rukhsat karo
1
Jab se baba ne choome hain shane tere
Karbala yaad aati hai bhai mujhe
Ek zakhmi badan hoga jab be kafan
Kaun aayega bhai uthane use
Aaj sab hain chalo, tum mera saath do
Door baitho na ab mere Ghazi utho
2
Jaanta hoon bohat sabr tum ne kiya
Apne baba ke qatil ko pani diya
Zakhm gehra hai ab bhi shikasta hai sar
Usne talwar se waar aisa kiya
Zarb ke zakhm se, khoon phir na bahe
Dekho mayyat rakhi hai bohat dair se
3
Jaise amma ne mujh ko bulaya suno
Tum bhi baba ko ek baar awaz do
Maa ki tarah se band-e kafan tor kar
Apne seene se tumko laga len ge woh
Unka ehsaas ho, tum to Abbas ho
Mere baba ke dil ke bohat paas ho
4
Bas yeh armaan hota hai har baap ka
Mere bete uthayen janaza mera
Keh ke yeh baat Shabbir rone lage
Aur phir haath seene pe rakh kar kaha
Aisa na ho kabhi, baap uthaye koi
Apne kandhe pe mayyat jawan laal ki
5
Yaad hai tumko baba ne jate hue
Haath rakha tumhara mere haath pe
Tumko shab ki namazon mein manga gaya
Ay mere bhai Karbobala ke liye
Kya yeh sadma hai kam, hain yateem aaj hum
Haye aghaz-e Karbobala hai yeh gham
6
Thaam kar apni tooti hui pasliyan
Dekho baba ke pehlu mein baithi hain maa
Haye ghurbat wohi haath pehlu pe hai
Taziyanon ke jis par hain ab bhi nishan
Dekho ay ba wafa, saath hain Mustafa
Chal ke baba ko ab bol do alvida
7
Dekho baba ki mayyat se lipti hai woh
Tum hi Zainab ke jeene ki umeed ho
Bhai Shabbar ne rukh se hataya tha jo
Apne haathon se tum woh kafan bandh do
Aks-e Khyber shikan, mar na jaye behan
Tumko dekhe gi to chhor de gi kafan
8
Baat behnon ki aayi to Ghazi uthe
Apne baba ki mayyat ki janib chale
Aa ke baba ke qadmon ka bosa liya
Ay Raza haal Zeeshan kaise likhe
Jab janaza utha, ghar mein kohraam tha
Ro ke Abbas ne bhaiyon se kaha