Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

آؤ عزاداروں

Aao Azadaaroṅ

Add to set
Show

آؤ عزاداروں

آؤ عزاداروں اب تک ہے زبانوں پہ علمدار علمدار اے قافلہء شاہ کے سالار علمدار عباس علمدار اک صدا کانوں میں ابھی تک گونج رہی ہے لوگوں سنو یہ ہے صدا خاتون جناں کی ہم بھی کہیں اور تم بھی کہو کیوں نہ کہیں عرفان اور مظہر آؤ دعا زہرا کی پائیں آؤ عزاداروں آؤ علم غازی کا اٹھائیں
۱ یہ وہ علم ہے جس کا پھریرا ثانیء زہرا کی چادر ہے ہاں یہ علم جس گھر پہ لگا ہو سایۂ زہرا میں وہ گھر ہے کیا ہے علم کیا اسکی عطا ہے آؤ زمانے بھر کو بتائیں
۲ آؤ زمانے بھر کو بتائیں ہم پہ ابو طالب کا کرم ہے پاس نہیں آئے گا کوئی غم سایہ فگن جب تک یہ علم ہے آؤ علم کے سائے میں آؤ غم کا ہر اک احساس مٹائیں
۳ غم کا ہر ایک احساس مٹا کر پیار کریں سرکار وفا سے پیار کے بدلے پیار ملے گا تم کو نبی سے اور خدا سے ساتھ چلیں ہم کیوں دنیا کے دنیا تو اپنے ساتھ چلائیں
۴ دنیا ہمارے ساتھ چلے گی اور قیادت شیر جری کی سارے عالم جھک جائیں گے پھر تو بات رہے گی ایک علم کی خواب یہی تھا بنت علی کا کیوں نہ اسے تعبیر بنائیں
۵ خواب کو جب تعبیر ملے گی قول یہ پورا ہوگا کسی کا کوئی کہے گا میرا ہے مولا کوئی کہے گا میرا ہے مولا آئیں گے پھر ہر گھر سے یقیناً نوحے کی اور ماتم کی صدائیں
۶ نوحے کی اور ماتم کی صدا سے گونج رہا ہوگا یہ زمانہ سارا جہاں یہ بات کہے گا ناد علی ہے قومی ترانہ قومی علم اور قومی پرچم دونوں میں ہے جو فرق مٹائیں
۷ دونوں میں ہے جو فرق مٹانے گھر سے چلے تھے سبط پیمبر چند جواں اور کچھ بچوں سے شہ نے دیا ترتیب ایک لشکر آؤ اسی لشکر کی یادیں سارے جہاں کے دل میں جگائیں
۸ سارے جہاں کے دل میں جگائیں یاد اسی عاشور کی شب کی ایک علم تھا آس وہاں پر بالی سکینہ اور زینب کی آس بنا جو اہلِ حرم کی ہم بھی اسی سے آس لگائیں
۹ آس گئی فرزند علی کی جب یہ علم مقتل میں گرا تھا ایک طرف شبیر اور زینب ایک طرف سادات کا نوحہ اے قافلہء شاہ کے سالار علمدار عباس علمدار

Aao Azadaaroṅ

Aao azadaaroṅ Ab tak hai zabaanoṅ pe Alamdar Alamdar Ae qaafila-e-Shah ke saalaar Alamdar Abbas Alamdar Ek sada kaanoṅ meiṅ abhi tak Gunj rahi hai logoṅ suno Ye hai sada Khatun-e-Jinaaṅ ki Hum bhi kaheṅ aur tum bhi kaho Kiuṅ na kaheṅ Irfan aur Mazhar Aao dua Zehra ki paayeṅ Aao azadaaroṅ aao alam Ghazi ka uthaayeṅ
1 Ye wo alam hai jis ka pharera Saani-e-Zehra ki chadar hai Haaṅ ye alam jis ghar pe laga ho Saaya-e-Zehra meiṅ wo ghar hai Kya hai alam kya iski ataa hai Aao zamaane bhar ko bataayeṅ
2 Aao zamaane bhar ko bataayeṅ Hum pe Abu Talib ka karam hai Paas nahiṅ aayega koi gham Saaya fagan jab tak ye alam hai Aao alam ke saaye meiṅ aao Gham ka har ek ehsaas mitaayeṅ
3 Gham ka har ek ehsaas mita kar Pyaar kareṅ Sarkar-e-Wafa se Pyaar ke badle pyaar milega Tumko Nabi se aur Khuda se Saath chaleṅ hum kiuṅ dunya ke Dunya to apne saath chalaayeṅ
4 Dunya hamaare saath chalegi Aur qiyaadat Sher-e-Jari ki Saare aalam jhuk jaayeṅ ge phir to Baat rahegi ek alam ki Khwaab yehi tha bint-e-Ali ka Kiuṅ na ise taabir banaayeṅ
5 Khwaab ko jab taabir milegi Qaul ye pura hoga kisi ka Koi kahega mera hai maula Koi kahega mera hai maula Aayeṅ ge phir har ghar se yaqinan Nauhe ki aur maatam ki sadaayeṅ
6 Nauhe ki aur maatam ki sada se Gunj raha hoga ye zamaana Saara jahaaṅ ye baat kahega Naad-e-Ali hai qaumi taraana Qaumi alam aur qaumi parcham Donoṅ meiṅ hai jo farq mitaayeṅ
7 Donoṅ meiṅ hai jo farq mitaane Ghar se chale the Sibt-e-Payambar Chand jawaaṅ aur kuchh bachchoṅ se Sheh ne diya tartib ek lashkar Aao usi lashkar ki yaadeṅ Saare jahaaṅ ke dil meiṅ jagaayeṅ
8 Saare jahaaṅ ke dil meiṅ jagaayeṅ Yaad usi Ashur ki shab ki Ek alam tha aas wahaaṅ par Baali Sakina aur Zainab ki Aas bana jo Ahl-e-Haram ki Hum bhi usi se aas lagaayeṅ
9 Aas gayi farzand-e-Ali ki Jab ye alam maqtal meiṅ gira tha Ek taraf Shabbir aur Zainab Ek taraf sadaat ka nauha Ae qaafila-e-Shah ke saalaar Alamdar Abbas Alamdar