Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

آغاز ہو رہا ہے کربل کی کہانی کا

Aaghaz Ho Raha Hai Karbal Ki Kahani Ka

Add to set
Show

آغاز ہو رہا ہے کربل کی کہانی کا

آغاز ہو رہا ہے کربل کی کہانی کا لوگوں یہ جنازہ ہے اسلام کے بانی کا
۱ بی‌بی نے کہا بابا کربل میں چلے آنا منظر میں دکھاؤں گی اکبر کی جوانی کا لوگوں یہ جنازہ ہے اسلام کے بانی کا
۲ کٹ جائیں گے بازو بھی عباس باوفا کے تیروں سے ہوگا چھلنی مشکیزہ وہ پانی کا لوگوں یہ جنازہ ہے اسلام کے بانی کا
۳ بکھرے گا کربلا میں قاسم کے سر کا سہرا خوشیاں سمیٹ لے گا عالم وہ ویرانی کا لوگوں یہ جنازہ ہے اسلام کے بانی کا
۴ روتے تھے فرشتے بھی تھا ارض و سماں لرزہ تابوت اٹھ رہا ہے عمران کے جانی کا لوگوں یہ جنازہ ہے اسلام کے بانی کا
۵ تاحشر میرے مولا مشتاق رہوں تیرا مل جائے شرف مجھ کو بس تیری غلامی کا لوگوں یہ جنازہ ہے اسلام کے بانی کا

Aaghaz Ho Raha Hai Karbal Ki Kahani Ka

Aaghaz ho raha hai Karbal ki kahani ka Logoṅ ye janaza hai Islam ke baani ka
1 Bibi ne kaha baba Karbal meiṅ chale aana Manzar maiṅ dikhaauṅ gi Akbar ki jawani ka Logoṅ ye janaza hai Islam ke baani ka
2 Kat jayeṅ ge baazu bhi Abbas bawafa ke Tiroṅ se hoga chhalni mashkiza wo pani ka Logoṅ ye janaza hai Islam ke baani ka
3 Bikhrega Karbala meiṅ Qasim ke sar ka sehra Khushiyaṅ samet le ga aalam wo viraani ka Logoṅ ye janaza hai Islam ke baani ka
4 Rote the farishte bhi tha arz o samaṅ larza Taabut uth raha hai Imran ke jaani ka Logoṅ ye janaza hai Islam ke baani ka
5 Ta hashr mere Maula Mushtaq rahuṅ tera Mil jaye sharaf mujh ko bas teri ghulami ka Logoṅ ye janaza hai Islam ke baani ka