Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

ہائے بازار شام

Aagayi Zainab

Add to set
Show

ہائے بازار شام

ہائے بازار شام
آ گئی زینب کھلے سر شام کے بازار میں راہ میں کھائے گی پتھر جائے گی دربار میں
۱ ٹک کے بیٹھے ہوں گے عابد ہائے جس دیوار سے بد گئی ہوں گی دراریں ہائے اس دیوار میں
۲ اے خدائے لم یزل یہ تیری آنکھیں تو نہیں کس کی آنکھیں رو رہی ہے دیدۂ خوں بار میں
۳ وارث کل انبیاء کی اس لئے وارث ہے تو جلوۂ توحید ہے زینب تیرے آثار میں
۴ بعد قتل شاہ والا ایک زمانے پر کھلا ہمت زینب تھی شامل شاہ کے انکار میں
۵ سب تھے راضی سر کٹانے پر بجز سجاد کے جانے کیا مشکل چھپی تھی طوق کے آزار میں
۶ سر بہ سجدہ حیبت موسیٰ سوالی ہے جہاں کون سی حیبت خدا جانے ہے اس بیمار میں
۷ جس کڑھے میں باقی ہے سجاد کے گریے کی دھار اس قدر تیزی کہاں ہو گی کسی تلوار میں
۸ بعد قتل شاہ دیں یہ وقت رک جاتا نوید ہائے عابد گر نہ ہوتے وقت کی رفتار میں

Aagayi Zainab

Haye bazaar-e-Shaam
Aa gayi Zainab khule sar Shaam ke bazaar meiṅ Raah meiṅ khayegi patthar jayegi darbar meiṅ
1 Tik ke baithe hoṅ ge Abid haye jis diwar se Bad gayi hoṅ gi daraareiṅ haye us diwar meiṅ
2 Ae Khuda-e-lam-yazal ye teri aankheiṅ to nahiṅ Kis ki aankheiṅ ro rahi hai dida-e-khuṅ baar meiṅ
3 Waaris-e-kul ambiya ki is liye waaris hai tu Jalwa-e-tauhid hai Zainab tere asrar meiṅ
4 Baad-e-qatl-e-Shaah-e-waala ek zamane par khula Himmat-e-Zainab thi shamil Shah ke inkar meiṅ
5 Sab the razi sar katane par bajuz Sajjad ke Jaane kya mushkil chhupi thi tauq ke aazaar meiṅ
6 Sar ba-sajda haibat-e-Musa sawali hai jahaṅ Kaun si haibat khuda jaane hai us bemaar meiṅ
7 Jis karhe meiṅ baaqi hai Sajjad ke girye ki dhaar Is qadar tezi kahaṅ ho gi kisi talwaar meiṅ
8 Baad-e-qatl-e-Shaah-e-diṅ ye waqt ruk jaata Naved Haye Abid gar na hote waqt ki raftar meiṅ