Salam · 48
جو شہؑ کے طرفدار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
Jo Shah ke tarafdar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Source pages:125
Show

Jo Shah ke tarafdar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Baqir Shahjahanpuri
Jo Shah ke tarafdar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Wo talib-e-didar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Duniya hi nahiṅ waqf-e-azadari-e-Sarwar
Shabbir ke ghamkhwar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Jo dar pe-e-iza haiṅ Husain Ibn-e-Ali ke
Wo log gunahgar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Abbas ne ada se kaha tol ke talwar
Hum Haq ke parastar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Kehte haiṅ hameiṅ saf-shikan o Safdar o Jarrar
Hum naib-e-Karrar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Hoshyar ke dar-e-dast wahi tigh hai jis ka
Mane hue sab war yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Shah ne kaha pyase nahiṅ hum ae Umar-e-Saad
Mast-e-mai-e-anwar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Chaheṅ to hai zer-e-qadam chashma-e-Kausar
Hum pani ke mukhtar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Duniya hi pe mauquf nahiṅ asl meiṅ Hasnain
Baqir ke tarafdar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Jo Shah ke tarafdar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
جو شہؑ کے طرفدار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
باقر شاہجہان پوری
جو شہؑ کے طرفدار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
وہ طالبِ دیدار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
دنیا ہی نہیں وقفِ عزاداریِ سَرورؑ
شبیرؑ کے غمخوار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
جو در پے ایذا ہیں حسینؑ ابنِ علیؑ کے
وہ لوگ گنہگار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
عباسؑ نے اعداء سے کہا تول کے تلوار
ہم حق کے پرستار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
کہتے ہیں ہمیں صف شکن و صفدر و جرار
ہم نائبِ کرارؑ یہاں بھی ہیں وہاں بھی
ہوشیار کہ درِ دست وہی تیغ ہے جس کا
مانے ہوئے سب وار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
شہؑ نے کہا پیاسے نہیں ہم اے عمرِ سعد
مستِ مےِ انوار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
چاہیں تو ہے زیرِ قدم چشمۂ کوثر
ہم پانی کے مختار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
دنیا ہی پہ موقوف نہیں اصل میں حسنینؑ
باقرؔ کے طرفدار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
جو شہؑ کے طرفدار یہاں بھی ہیں وہاں بھی