Basta — Page 125
Show

Jo Shah ke tarafdar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Baqir Shahjahanpuri
Jo Shah ke tarafdar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Wo talib-e-didar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Duniya hi nahiṅ waqf-e-azadari-e-Sarwar
Shabbir ke ghamkhwar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Jo dar pe-e-iza haiṅ Husain Ibn-e-Ali ke
Wo log gunahgar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Abbas ne ada se kaha tol ke talwar
Hum Haq ke parastar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Kehte haiṅ hameiṅ saf-shikan o Safdar o Jarrar
Hum naib-e-Karrar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Hoshyar ke dar-e-dast wahi tigh hai jis ka
Mane hue sab war yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Shah ne kaha pyase nahiṅ hum ae Umar-e-Saad
Mast-e-mai-e-anwar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Chaheṅ to hai zer-e-qadam chashma-e-Kausar
Hum pani ke mukhtar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Duniya hi pe mauquf nahiṅ asl meiṅ Hasnain
Baqir ke tarafdar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
Jo Shah ke tarafdar yahaṅ bhi haiṅ wahaṅ bhi
[Mukhtasar qita]
Piroṅ ki ziyarat nasib hogi tumheiṅ
Dar-e-Husain pe baitho nazar jamaye hue
(Bashukriya shair-e-Ahl-e-Bait Qaisar Jafari)
Khub ji bhar kar jamal-e-ru-e-Akbar dekhna
Syed Muhammad Suleman Shah Agraabadi (marhum)
Khub ji bhar kar jamal-e-ru-e-Akbar dekhna
Marne wale kya hua, kar mayassar dekhna
Wo Harim-e-Arsh ki ye dosh-e-Payambar ki zeb
Zainab wala dast o paye Haider dekhna
Dekhne walo waqar-e-Maryam o Bint-e-Asad
Kaun hai Kaabe ke bahar, kaun andar dekhna
Kis taajjub se shab-e-hijrat ye kehte the malak
Kis ki peshani Nabi hai aur kis ka bistar dekhna
Subh uth kar ek ibarat ye bhi thi khanjar ki
Ru-e-Asghar dekhna ya ru-e-Akbar dekhna
Sajda-e-aakhir meiṅ Shah ke Haq se wo raz o niyaz
Ae mere alam meiṅ kahaṅ ka zarb-e-khanjar dekhna
Sham ke zindaṅ meiṅ jis par aaj haiṅ pabandiyaṅ
Zikr hoga kal isi matam ka ghar ghar dekhna
Gauhar-e-yakta haiṅ ya ashk-e-gham-e-Shabbir haiṅ
Phir zara daman ki janib dida-e-tar dekhna
Zulm kehta hai ke waqt-e-imtihaṅ hai ae Husain
Sabr kehta hai zara mere bhi jauhar dekhna
Ghaiz meiṅ Abbas ko dekha to Sarwar ne kaha
Ye mere nana ki ummat hai baradar dekhna
Gah su-e-asmaṅ, gah ru-e-Akbar ki taraf
Wo Husain Ibn-e-Ali ka aah bhar kar dekhna
Saya-afgan shakh-e-mazar ke sar par hai kaun
Dekhna ae tabish-e-khurshid-e-mahshar dekhna
(Bashukriya sozkhwaṅ Syed Qamar Abbas Jafari)
جو شہؑ کے طرفدار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
باقر شاہجہان پوری
جو شہؑ کے طرفدار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
وہ طالبِ دیدار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
دنیا ہی نہیں وقفِ عزاداریِ سَرورؑ
شبیرؑ کے غمخوار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
جو در پے ایذا ہیں حسینؑ ابنِ علیؑ کے
وہ لوگ گنہگار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
عباسؑ نے اعداء سے کہا تول کے تلوار
ہم حق کے پرستار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
کہتے ہیں ہمیں صف شکن و صفدر و جرار
ہم نائبِ کرارؑ یہاں بھی ہیں وہاں بھی
ہوشیار کہ درِ دست وہی تیغ ہے جس کا
مانے ہوئے سب وار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
شہؑ نے کہا پیاسے نہیں ہم اے عمرِ سعد
مستِ مےِ انوار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
چاہیں تو ہے زیرِ قدم چشمۂ کوثر
ہم پانی کے مختار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
دنیا ہی پہ موقوف نہیں اصل میں حسنینؑ
باقرؔ کے طرفدار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
جو شہؑ کے طرفدار یہاں بھی ہیں وہاں بھی
[مختصر قطعہ]
پیروں کی زیارت نصیب ہوگی تمہیں
درِ حسینؑ پہ بیٹھو نظر جمائے ہوئے
(بشکریہ شاعر اہل بیت قیصر جعفری)
خوب جی بھر کر جمالِ روئے اکبرؑ دیکھنا
سید محمد سلیمان شاہ آگرآبادی (مرحوم)
خوب جی بھر کر جمالِ روئے اکبرؑ دیکھنا
مرنے والے کیا ہوا، کر میسر دیکھنا
وہ حریمِ عرش کی یہ دوشِ پیغمبر کی زیب
زینب والا دست و پائے حیدرؑ دیکھنا
دیکھنے والو وقارِ مریم و بنتِ اسد
کون ہے کعبے کے باہر، کون اندر دیکھنا
کس تعجب سے شبِ ہجرت یہ کہتے تھے ملک
کس کی پیشانی نبی ہے اور کس کا بستر دیکھنا
صبح اٹھ کر ایک عبارت یہ بھی تھی خنجر کی
روئے اصغرؑ دیکھنا یا روئے اکبرؑ دیکھنا
سجدۂ آخر میں شہ کے حق سے وہ راز و نیاز
اے مرے عالم میں کہاں کا ضربِ خنجر دیکھنا
شام کے زنداں میں جس پر آج ہیں پابندیاں
ذکر ہوگا کل اسی ماتم کا گھر گھر دیکھنا
گوہر یکتا ہیں یا اشکِ غمِ شبیر ہیں
پھر ذرا دامن کی جانب دیدۂ تر دیکھنا
ظلم کہتا ہے کہ وقتِ امتحاں ہے اے حسینؑ
صبر کہتا ہے ذرا میرے بھی جوہر دیکھنا
غیظ میں عباسؑ کو دیکھا تو سرور نے کہا
یہ مرے نانا کی امت ہے برادر دیکھنا
گاہ سوئے آسماں، گہ روئے اکبرؑ کی طرف
وہ حسین ابنِ علیؑ کا آہ بھر کر دیکھنا
سایہ افگن شاخِ مزار کے سر پر ہے کون
دیکھنا اے تابشِ خورشیدِ محشر دیکھنا
(بشکریہ سوزخواں سید قمر عباس جعفری)