Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

Mutafarriqat-o-Qaumiyat · 18

غیروں کی محبت میں مرو کس نے کہا ہے

Ghairoṅ ki muhabbat meiṅ maro kis ne kaha hai

Source pages:415, 416

Add to Recitation Set
Show
Original Basta page 415
Page 415 · 1 of 2
Ghairoṅ ki muhabbat meiṅ maro kis ne kaha hai Ghairoṅ ki muhabbat meiṅ maro kis ne kaha hai Apnoṅ ki adawat meiṅ jiyo kis ne kaha hai Kuffar ka jab khauf hai aur mar ka bhi dar Hamrah-e-Payambar ke raho kis ne kaha hai Jab apna hi lashkar har ek jang se tum ko Hathyar bhi hamrah rakho kis ne kaha hai Mar jana meiṅ yani ke falaṅ "laula Ali" Balke kabhi ghaur karo kis ne kaha hai Sarkar ne chhori haiṅ giraṅ-qadr jo chizeṅ In donoṅ se tum paoṅ ke chalo kis ne kaha hai Qaumiyat ki maut hi to hai ajr-e-risalat Itrat na do aur kalima parho kis ne kaha hai Farmaya Nabi jis ke liye "mulk ati" Is shakhs pe tum war karo kis ne kaha hai Parhte raho Quran bhi aur Naat-e-Nabi bhi Aur Aal ka tum naam na lo kis ne kaha hai Jis Bibi ko farmaya Nabi "bizatun minni" is Bibi Bibi ki takzib karo kis ne kaha hai Jo baad-e-Nabi aap ho Quran-e-mujassam Is shakhs se Quran na lo kis ne kaha hai Jis shakhs ko ukhareiṅ Nabi bazm se apni Pahlu meiṅ use dafn karo kis ne kaha hai Jis zarra ki gawahi pe kareṅ fakhr malaik behurmati is zarra ki karo kis ne kaha hai Kehlate hue Katib-e-Wahy aur Sahabi Tum Nafs-e-Payambar se laro kis ne kaha hai Sardar huṅ jo log jawanan-e-Arab-e jinaṅ ke In donoṅ se tum bughz rakho kis ne kaha hai Mahshar meiṅ rakho un se shafaat ki ummideiṅ Duniya meiṅ un ki itaat na karo kis ne kaha hai Jin logoṅ ki khud apni shafaat bhi ho mushkil Aisoṅ ki muhabbat meiṅ maro kis ne kaha hai Zahra ka jo Haq khayeṅ karo un pe tabarra Khud ghasb ki ek pai na do kis ne kaha hai Jis bahr meiṅ aata hi na ho naam o naqs Is bahr meiṅ tum sher kaho kis ne kaha hai
غیروں کی محبت میں مرو کس نے کہا ہے غیروں کی محبت میں مرو کس نے کہا ہے اپنوں کی عداوت میں جیو کس نے کہا ہے کفار کا جب خوف ہے اور مار کا بھی ڈر ہمراہِ پیمبرؐ کے رہو کس نے کہا ہے جب اپنا ہی لشکر ہر اک جنگ سے تم کو ہتھیار بھی ہمراہ رکھو کس نے کہا ہے مر جانا میں یعنی کہ فلاں "لولا علیؑ" بلکہ کبھی غور کرو کس نے کہا ہے سرکارؐ نے چھوڑی ہیں گراں قدر جو چیزیں ان دونوں سے تم پاؤں کے چلو کس نے کہا ہے قومیت کی موت ہی تو ہے اجرِ رسالت عترت نہ دو اور کلمہ پڑھو کس نے کہا ہے فرمایا نبیؐ جس کے لئے "ملک عتی" اس شخص پہ تم وار کرو کس نے کہا ہے پڑھتے رہو قرآن بھی اور نعتِ نبیؐ بھی اور آل کا تم نام نہ لو کس نے کہا ہے جس بی‌بی کو فرمایا نبیؐ "بضعۃ منی" اس بی‌بی کی تکذیب کرو کس نے کہا ہے جو بعدِ نبیؐ آپ ہو قرآنِ مجسم اس شخص سے قرآن نہ لو کس نے کہا ہے جس شخص کو اکھاڑیں نبیؐ بزم سے اپنی پہلو میں اسے دفن کرو کس نے کہا ہے جس ذرہ کی گواہی پہ کریں فخر ملائک بے حرمتی اس ذرہ کی کرو کس نے کہا ہے کہلاتے ہوئے کاتبِ وحی اور صحابی تم نفسِ پیمبرؐ سے لڑو کس نے کہا ہے سردار ہوں جو لوگ جوانانِ جناں کے ان دونوں سے تم بغض رکھو کس نے کہا ہے محشر میں رکھو ان سے شفاعت کی امیدیں دنیا میں ان کی اطاعت نہ کرو کس نے کہا ہے جن لوگوں کی خود اپنی شفاعت بھی ہو مشکل ایسوں کی محبت میں مرو کس نے کہا ہے زہرا کا جو حق کھائیں کرو ان پہ تبرا خود غصب کی اک پائی نہ دو کس نے کہا ہے جس بحر میں آتا ہی نہ ہو نام و نقص اس بحر میں تم شعر کہو کس نے کہا ہے