Basta — Page 415
Show

Ghairoṅ ki muhabbat meiṅ maro kis ne kaha hai
Ghairoṅ ki muhabbat meiṅ maro kis ne kaha hai
Apnoṅ ki adawat meiṅ jiyo kis ne kaha hai
Kuffar ka jab khauf hai aur mar ka bhi dar
Hamrah-e-Payambar ke raho kis ne kaha hai
Jab apna hi lashkar har ek jang se tum ko
Hathyar bhi hamrah rakho kis ne kaha hai
Mar jana meiṅ yani ke falaṅ "laula Ali"
Balke kabhi ghaur karo kis ne kaha hai
Sarkar ne chhori haiṅ giraṅ-qadr jo chizeṅ
In donoṅ se tum paoṅ ke chalo kis ne kaha hai
Qaumiyat ki maut hi to hai ajr-e-risalat
Itrat na do aur kalima parho kis ne kaha hai
Farmaya Nabi jis ke liye "mulk ati"
Is shakhs pe tum war karo kis ne kaha hai
Parhte raho Quran bhi aur Naat-e-Nabi bhi
Aur Aal ka tum naam na lo kis ne kaha hai
Jis Bibi ko farmaya Nabi "bizatun minni"
is Bibi Bibi ki takzib karo kis ne kaha hai
Jo baad-e-Nabi aap ho Quran-e-mujassam
Is shakhs se Quran na lo kis ne kaha hai
Jis shakhs ko ukhareiṅ Nabi bazm se apni
Pahlu meiṅ use dafn karo kis ne kaha hai
Jis zarra ki gawahi pe kareṅ fakhr malaik
behurmati is zarra ki karo kis ne kaha hai
Kehlate hue Katib-e-Wahy aur Sahabi
Tum Nafs-e-Payambar se laro kis ne kaha hai
Sardar huṅ jo log jawanan-e-Arab-e jinaṅ ke
In donoṅ se tum bughz rakho kis ne kaha hai
Mahshar meiṅ rakho un se shafaat ki ummideiṅ
Duniya meiṅ un ki itaat na karo kis ne kaha hai
Jin logoṅ ki khud apni shafaat bhi ho mushkil
Aisoṅ ki muhabbat meiṅ maro kis ne kaha hai
Zahra ka jo Haq khayeṅ karo un pe tabarra
Khud ghasb ki ek pai na do kis ne kaha hai
غیروں کی محبت میں مرو کس نے کہا ہے
غیروں کی محبت میں مرو کس نے کہا ہے
اپنوں کی عداوت میں جیو کس نے کہا ہے
کفار کا جب خوف ہے اور مار کا بھی ڈر
ہمراہِ پیمبرؐ کے رہو کس نے کہا ہے
جب اپنا ہی لشکر ہر اک جنگ سے تم کو
ہتھیار بھی ہمراہ رکھو کس نے کہا ہے
مر جانا میں یعنی کہ فلاں "لولا علیؑ"
بلکہ کبھی غور کرو کس نے کہا ہے
سرکارؐ نے چھوڑی ہیں گراں قدر جو چیزیں
ان دونوں سے تم پاؤں کے چلو کس نے کہا ہے
قومیت کی موت ہی تو ہے اجرِ رسالت
عترت نہ دو اور کلمہ پڑھو کس نے کہا ہے
فرمایا نبیؐ جس کے لئے "ملک عتی"
اس شخص پہ تم وار کرو کس نے کہا ہے
پڑھتے رہو قرآن بھی اور نعتِ نبیؐ بھی
اور آل کا تم نام نہ لو کس نے کہا ہے
جس بیبی کو فرمایا نبیؐ "بضعۃ منی"
اس بیبی کی تکذیب کرو کس نے کہا ہے
جو بعدِ نبیؐ آپ ہو قرآنِ مجسم
اس شخص سے قرآن نہ لو کس نے کہا ہے
جس شخص کو اکھاڑیں نبیؐ بزم سے اپنی
پہلو میں اسے دفن کرو کس نے کہا ہے
جس ذرہ کی گواہی پہ کریں فخر ملائک
بے حرمتی اس ذرہ کی کرو کس نے کہا ہے
کہلاتے ہوئے کاتبِ وحی اور صحابی
تم نفسِ پیمبرؐ سے لڑو کس نے کہا ہے
سردار ہوں جو لوگ جوانانِ جناں کے
ان دونوں سے تم بغض رکھو کس نے کہا ہے
محشر میں رکھو ان سے شفاعت کی امیدیں
دنیا میں ان کی اطاعت نہ کرو کس نے کہا ہے
جن لوگوں کی خود اپنی شفاعت بھی ہو مشکل
ایسوں کی محبت میں مرو کس نے کہا ہے
زہرا کا جو حق کھائیں کرو ان پہ تبرا
خود غصب کی اک پائی نہ دو کس نے کہا ہے