Hamd, Naat-o-Manaqib · 32
ہر شاخِ عقیدت کو ثمر دیتے ہیں عباسؑ
Har shakh-e-aqidat ko samar dete haiṅ Abbas
Source pages:389
Show

Har shakh-e-aqidat ko samar dete haiṅ Abbas
Sarfaraz Abad
Har shakh-e-aqidat ko samar dete haiṅ Abbas
Nazzara ba-taufiq-e-nazar dete haiṅ Abbas
Mit sakte nahiṅ harf wo Quran-e-wafa ke
Tahrir sar-e-aab jo kar dete haiṅ Abbas
Ankheiṅ gham-e-Shabbir meiṅ nam hone se pehle
Ashkoṅ ke iwaz lal o gauhar dete haiṅ Abbas
Shabbir ke qadmoṅ meiṅ badal jati hai taqdir
Hurr ko shab-e-Ashur khabar dete haiṅ Abbas
Mujh ko kahiṅ jane ki zarurat nahiṅ hoti
Har chiz muhayya baithe ghar dete haiṅ Abbas
Ghazi se na daryaft karo wusat-e-darya
Darya ko to mashkize meiṅ bhar dete haiṅ Abbas
Lo dekh ke kya dast-e-burida ne sar-e-Sham
Tabindagi-e-nur-e-sahar dete haiṅ Abbas
Aa jaye Abad maut dar-e-Aal-e-Nabi par
Kehte haiṅ yahaṅ umr-e-Khizr dete haiṅ Abbas
ہر شاخِ عقیدت کو ثمر دیتے ہیں عباسؑ
سرفراز ابد
ہر شاخِ عقیدت کو ثمر دیتے ہیں عباسؑ
نظارہ بہ توفیقِ نظر دیتے ہیں عباسؑ
مٹ سکتے نہیں حرف وہ قرآنِ وفا کے
تحریر سرِ آب جو کر دیتے ہیں عباسؑ
آنکھیں غمِ شبیرؑ میں نم ہونے سے پہلے
اشکوں کے عوض لعل و گہر دیتے ہیں عباسؑ
شبیرؑ کے قدموں میں بدل جاتی ہے تقدیر
حرؑ کو شبِ عاشور خبر دیتے ہیں عباسؑ
مجھ کو کہیں جانے کی ضرورت نہیں ہوتی
ہر چیز مہیا بیٹھے گھر دیتے ہیں عباسؑ
غازی سے نہ دریافت کرو وسعتِ دریا
دریا کو تو مشکیزہ میں بھر دیتے ہیں عباسؑ
لو دیکھ کے کیا دستِ بریدہ نے سرِ شام
تابندگیِ نورِ سحر دیتے ہیں عباسؑ
آجائے ابد موت درِ آلِ نبیؐ پر
کہتے ہیں یہاں عمرِ خضر دیتے ہیں عباسؑ