Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

Basta — Page 389

Show
Original scan of Basta page 389
Siwaaye chand ek zuhur ki sab alaamateiṅ puri ho chuki haiṅ Basirat o maarifat tumhaari adu-e-Haq ko khatak rahi haiṅ Zuhur ka waqt aa gaya hai dil o nazar ko bachaaye rakhna Naye naye naghma haa-e-midhat jo roz keh keh ke laa rahe ho Paye ziyaarat jo Sibt-e-Jafar Imaam ke dar pe aa pare ho Zuhur ka waqt aa gaya hai tum apna bistar lagaaye rakhna Muin, uswa-e-Hasani, jazba-e-bakhshish apni nazar meiṅ rakhna Hai mojiza inqilab-e-Iran, muhabbat aur maishat ka Zuhur ka waqt aa gaya hai, ye baat dil meiṅ bithaye rakhna Jinhoṅ ne Ghazi ke bazu kate, wo jis ne Akbar ke neza mara Wo jis ne Asghar ke tir mare, jinhoṅ ne Zahra ka dil dukhaya Zuhur ka waqt aa gaya hai, hisab sab ka lagaye rakhna Haram ko torne wale na bachne payeṅ, na chhupne payeṅ Haram ke dar jalane wale na chhupne payeṅ, na bachne payeṅ Zuhur ka waqt aa gaya hai, har ek pe nazreiṅ jamaye rakhna
Har shakh-e-aqidat ko samar dete haiṅ Abbas Sarfaraz Abad Har shakh-e-aqidat ko samar dete haiṅ Abbas Nazzara ba-taufiq-e-nazar dete haiṅ Abbas Mit sakte nahiṅ harf wo Quran-e-wafa ke Tahrir sar-e-aab jo kar dete haiṅ Abbas Ankheiṅ gham-e-Shabbir meiṅ nam hone se pehle Ashkoṅ ke iwaz lal o gauhar dete haiṅ Abbas Shabbir ke qadmoṅ meiṅ badal jati hai taqdir Hurr ko shab-e-Ashur khabar dete haiṅ Abbas Mujh ko kahiṅ jane ki zarurat nahiṅ hoti Har chiz muhayya baithe ghar dete haiṅ Abbas Ghazi se na daryaft karo wusat-e-darya Darya ko to mashkize meiṅ bhar dete haiṅ Abbas Lo dekh ke kya dast-e-burida ne sar-e-Sham Tabindagi-e-nur-e-sahar dete haiṅ Abbas Aa jaye Abad maut dar-e-Aal-e-Nabi par Kehte haiṅ yahaṅ umr-e-Khizr dete haiṅ Abbas
سوائے چند ایک ظہور کی سب علامتیں پوری ہو چکی ہیں بصیرت و معرفت تمہاری عدوِ حق کو کھٹک رہی ہیں ظہور کا وقت آ گیا ہے دل و نظر کو بچائے رکھنا نئے نئے نغمہ ہائے مدحت جو روز کہہ کہہ کے لا رہے ہو پئے زیارت جو سبطِ جعفر امام کے در پہ آ پڑے ہو ظہور کا وقت آ گیا ہے تم اپنا بستر لگائے رکھنا معینؑ، اسوۂ حسنیؑ، جذبۂ بخشش اپنی نظر میں رکھنا ہے معجزہ انقلابِ ایران، محبت اور معیشت کا ظہور کا وقت آگیا ہے، یہ بات دل میں بٹھائے رکھنا جنہوں نے غازی کے بازو کاٹے، وہ جس نے اکبر کے نیزہ مارا وہ جس نے اصغر کے تیر مارے، جنہوں نے زہرا کا دل دکھایا ظہور کا وقت آگیا ہے، حساب سب کا لگائے رکھنا حرم کو توڑنے والے نہ بچنے پائیں، نہ چھپنے پائیں حرم کے در جلانے والے نہ چھپنے پائیں، نہ بچنے پائیں ظہور کا وقت آگیا ہے، ہر اک پہ نظریں جمائے رکھنا
ہر شاخِ عقیدت کو ثمر دیتے ہیں عباسؑ سرفراز ابد ہر شاخِ عقیدت کو ثمر دیتے ہیں عباسؑ نظارہ بہ توفیقِ نظر دیتے ہیں عباسؑ مٹ سکتے نہیں حرف وہ قرآنِ وفا کے تحریر سرِ آب جو کر دیتے ہیں عباسؑ آنکھیں غمِ شبیرؑ میں نم ہونے سے پہلے اشکوں کے عوض لعل و گہر دیتے ہیں عباسؑ شبیرؑ کے قدموں میں بدل جاتی ہے تقدیر حرؑ کو شبِ عاشور خبر دیتے ہیں عباسؑ مجھ کو کہیں جانے کی ضرورت نہیں ہوتی ہر چیز مہیا بیٹھے گھر دیتے ہیں عباسؑ غازی سے نہ دریافت کرو وسعتِ دریا دریا کو تو مشکیزہ میں بھر دیتے ہیں عباسؑ لو دیکھ کے کیا دستِ بریدہ نے سرِ شام تابندگیِ نورِ سحر دیتے ہیں عباسؑ آجائے ابد موت درِ آلِ نبیؐ پر کہتے ہیں یہاں عمرِ خضر دیتے ہیں عباسؑ