Basta — Page 418
Show

Sozkhwan ka saz dil hai is liye is ko salam
Kaun kehta hai ke aisi sozkhwani hai haram
Sozkhwanoṅ ke saz ka parda hai zikr-e-Husain
Baat ye parde meiṅ kiuṅ rehti ke jaye beyaqin
Shahidoṅ aur shahidoṅ ke warisoṅ ko salam
Sibt Jafar
Nabi o Aal-e-Nabi ke mujahidoṅ ko salam
Shahidoṅ aur shahidoṅ ke warisoṅ ko salam
Hai Eid asl meiṅ apne muhasbe ka din
Jo aisa karte haiṅ in sare Mominoṅ ko salam
Faqih ho ya azakhana ya dil-e-Momin
Janab-e-Fatima Zahra ke sab gharoṅ ko salam
Shahid zinda haiṅ aur Haq se rizq pate haiṅ
Khuda ke khas muhibboṅ, fidaiyoṅ ko salam
Jo mulk o qaum ke aur Mominoṅ ke khadim haiṅ
Ba-sad khulus wafadar khadimoṅ ko salam
Jo din gunahoṅ se hua Pak asl meiṅ hai wo Eid
Gunah se Pak dinoṅ aur in shaboṅ ko salam
Haiṅ karwan-e-shahadat meiṅ hum bhi shamil
Imam-e-Waqt ke sare sipahiyoṅ ko salam
Musafiran-e-shahadat, hayat hoṅ ya Shahid
Jo kam aayeṅ rah-e-Haq meiṅ un lahuoṅ ko salam
Khuda ke bandoṅ ke apne huquq hoṅ jinheiṅ yaad
Hamari samt se un sare sathiyoṅ ko salam
Rakheṅ jo yaad shahidoṅ ke Ahl-e-Khana ko
Dua kareṅ un sare muhsinoṅ ko salam
سوزخوان کا ساز دل ہے اس لئے اس کو سلام
کون کہتا ہے کہ ایسی سوزخوانی ہے حرام
سوزخوانوں کے ساز کا پردہ ہے ذکرِ حسینؑ
بات یہ پردے میں کیوں رہتی کہ جائے بے یقیں
شہیدوں اور شہیدوں کے وارثوں کو سلام
سبط جعفر
نبیؐ و آلِ نبیؐ کے مجاہدوں کو سلام
شہیدوں اور شہیدوں کے وارثوں کو سلام
ہے عید اصل میں اپنے محاسبے کا دن
جو ایسا کرتے ہیں ان سارے مومنوں کو سلام
فقیح ہو یا عزاخانہ یا دلِ مومن
جنابِ فاطمہ زہرا کے سب گھروں کو سلام
شہید زندہ ہیں اور حق سے رزق پاتے ہیں
خدا کے خاص محبوں، فدائیوں کو سلام
جو ملک و قوم کے اور مومنوں کے خادم ہیں
بصد خلوص وفادار خادموں کو سلام
جو دین گناہوں سے ہوا پاک اصل میں ہے وہ عید
گناہ سے پاک دنوں اور ان شبوں کو سلام
ہیں کاروانِ شہادت میں ہم بھی شامل
امامِ وقت کے سارے سپاہیوں کو سلام
مسافرانِ شہادت، حیات ہوں یا شہید
جو کام آئیں رہِ حق میں ان لہوؤں کو سلام
خدا کے بندوں کے اپنے حقوق ہوں جنہیں یاد
ہماری سمت سے ان سارے ساتھیوں کو سلام
رکھیں جو یاد شہیدوں کے اہلِ خانہ کو
دعا کریں ان سارے محسنوں کو سلام