Basta — Page 288
Show

4
Zahra ko ghusl de chukiṅ Zainab-e-haziṅ
Aa kar kafan pehnane lage Badshah-e-Diṅ
Aaye Hasan Husain bhi rote hue qariṅ
Maṅ ke gale lipat gaye donoṅ wo nazniṅ
Ijaz se Batul ne dil ko sambhal kar
Le liṅ balayeṅ hath se kafan se nikal kar
Duniya se jab guzar gayiṅ Zahra jigar-figar
Duniya se aaj rehlat-e-Bint-e-Rasul hai
1
Duniya se aaj rehlat-e-Bint-e-Rasul hai
Dast-e-ajal meiṅ Ismat-e-Kubra ka phul hai
Qabr-e-Nabi larazti hai Yasrib malul hai
Hasnain o Murtaza se wida-e-Batul hai
Patti se lag ke Zainab o Kulsum roti haiṅ
Is kamsini meiṅ bachchiyan bemaaṅ ki hoti haiṅ
2
Zainab ka haal ye hai ke ansu to haiṅ rawaaṅ
Kulsum ko bhi deti haiṅ paiham tasalliyaṅ
Farma rahi haiṅ chhoti bahen se ke meri jaaṅ
Rehti nahiṅ jahaṅ meiṅ hamesha kisi ki maaṅ
bebas thiṅ hum ko chhor ke giryaaṅ chali gayiṅ
Allah ne bula liya Ammaṅ chali gayiṅ
3
Zainab ki bholi batoṅ pa muztar the Murtaza
Asma ne bachchiyouṅ ko gale se laga liya
Chupke khare the laash ki baliṅ pa Mujtaba
Aur sar rakha tha qadmoṅ pe maaṅ ke Husain ka
Sab ro rahe the dekh ke mayyat Batul ki
Duniya se uth rahi thi nishani Rasul ki
4
Mayyat ke pas baith ke bole ye Murtaza
Bachcho sambhalo dil ko ke ye sabr ki hai jaa
Ab ehtimam karna hai mayyat ke ghusl ka
Asma ke sath sahn meiṅ jao pidar fida
Tamil ho wasiyat-e-Bint-e-Rasul ki
Anjaam deṅ hum aakhri khidmat Batul ki
5
Allah kitne zulm hue haiṅ Batul par
Thar'raa raha hai karb se tarikh ka jigar
Rote tarapte guzri hai Bibi ki umr bhar
Mehshar har aik shab thi qayamat har ik sahar
Shahzadi kaise zakhmoṅ ki tere dawa karuṅ
Ansu baha rahe haiṅ, ghulam aur kya karuṅ
Duniya se aaj rehlat Bint-e-Rasul hai
۴
زہراؑ کو غسل دے چکیں جب زینبؑ حزیں
آکر کفن پہنانے لگے بادشاہِ دیں
آئے حسنؑ حسینؑ بھی روتے ہوئے قریں
ماں کے گلے لپٹ گئے دونوں وہ نازنیں
اعجازِ سے بتولؑ نے دل کو سنبھال کر
لے لیں بلائیں ہاتھ سے کفن سے نکال کر
دنیا سے جب گزر گئیں زہرا جگر فگار
دنیا سے آج رحلتِ بنتِ رسولؐ ہے
۱
دنیا سے آج رحلتِ بنتِ رسولؐ ہے
دستِ اجل میں عصمتِ کبریٰ کا پھول ہے
قبرِ نبیؐ لرزتی ہے یثرِب ملول ہے
حسنینؑ و مرتضیٰؑ سے وداعِ بتولؑ ہے
پٹّی سے لگ کے زینبؑ و کلثومؑ روتی ہیں
اس کم سنی میں بچیاں بے ماں کی ہوتی ہیں
۲
زینبؑ کا حال یہ ہے کہ آنسو تو ہیں رواں
کلثومؑ کو بھی دیتی ہیں پیہم تسلیاں
فرما رہی ہیں چھوٹی بہن سے کہ میری جاں
رہتی نہیں جہاں میں ہمیشہ کسی کی ماں
بے بس تھیں ہم کو چھوڑ کے گِریاں چلی گئیں
اللہ نے بُلا لیا امّاں چلی گئیں
۳
زینبؑ کی بھولی باتوں پَہ مضطر تھے مرتضیٰؑ
اسماءؑ نے بچّیوں کو گلے سے لگالیا
چپکے کھڑے تھے لاش کی پالیں پہ مجتبیٰؑ
اور سَر رکھا تھا قدموں پَہ ماں کے حسینؑ کا
سب رو رہے تھے دیکھ کے میت بتولؑ کی
دنیا سے اٹھ رہی تھی نشانی رسولؐ کی
۴
میت کے پاس بیٹھ کے بولے یہ مرتضیٰؑ
بچو سنبھالو دل کو کہ یہ صبر کی ہے جا
اب اہتمام کرنا ہے میت کے غسل کا
اسماءؑ کے ساتھ صحن میں جاؤ پدر فدا
تعمیل ہو وصیت بنتِ رسولؑ کی
انجام دیں ہم آخری خدمت بتولؑ کی
۵
اللہ کتنے ظلم ہوئے ہیں بتولؑ پر
تھرا رہا ہے کرب سے تاریخ کا جگر
روتے تڑپتے گزری ہے بیبی کی عمر بھر
محشر ہر ایک شب تھی قیامت ہر اک سحر
شہزادی کیسے زخموں کی تیرے دوا کروں
آنسو بہا رہیں ہیں غلام اور کیا کروں
دنیا سے آج رحلت بنتِ رسولؐ ہے