Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

ذوالجناح نام ہے شبیر کا رہوار ہوں میں

Zuljanah Naam Hai Shabir Ka Rahwar Huṅ Maiṅ

Add to set
Show

ذوالجناح نام ہے شبیر کا رہوار ہوں میں

۱ ذوالجناح نام ہے شبیر کا رہوار ہوں میں نورِ اول کی قسم شاملِ انوار ہوں میں خود وفادار یہ کہتے ہیں وفادار ہوں میں میرے ہم جنس جو ہیں ان کا علمدار ہوں میں جب سے اللہ نے اس در کی غلامی دی ہے مجھ کو آ آ کے فرشتوں نے سلامی دی ہے
۲ وہ جو ہے شافعِ بطحا وہ ہے آقا میرا جس کی ٹھوکر میں ہے دنیا وہ ہے آقا میرا جس کے سجدے میں ہے کعبہ وہ ہے آقا میرا جو ہے عباس کا آقا وہ ہے آقا میرا نور کو جس نے اٹھایا وہ عماری میں ہوں دوشِ احمد کے سواروں کی سواری میں ہوں
۳ درِ عمران نے بخشا ہے یہ فیضان مجھے روزِ اول سے ہے توحید پہ ایمان مجھے حدِ ممکن میں نہیں لا سکا امکان مجھے جانور ہے وہ سمجھتا ہے جو حیوان مجھے آیتوں میں بخدا ذکر میرا آیا ہے میری ٹاپوں کی تو اللہ قسم کھاتا ہے
۴ نسبتِ خاص یہ رکھی ہے طہارت مجھ سے دور اللہ نے رکھی ہے نجاست مجھ سے باتیں کرتی رہی اللہ کی آیت مجھ سے کتنا خوش بخت ہوں میں خوش ہے امامت مجھ سے ربِ کعبہ کی قسم یوں بھی عبادت کی ہے میں نے اللہ کے چہرے کی زیارت کی ہے
۵ ہے عزادار زمانے میں دعائے زہرا ہے عزادار کے ہمراہ ولائے زہرا ہے عزادار پہ ہر گام عطائے زہرا سایہ کرتی ہے سدا اس پہ ردائے زہرا ہر عزاداریِ شبیر کا معمار ہوں میں برسرِ لاشۂ شہ پہلے عزادار ہوں میں
۶ امرِ خالق سے میں انوار کے پیکر میں ڈھلا شبِ اسرا مری رفتار سے براق چلا کب سمجھ پایا زمانہ میرے رتبے کو بھلا جہاں حسنین پلے میں بھی اسی گھر میں پلا دانہ شہزادی نے پلو میں کھلایا ہے مجھے پانی سقائے سکینہ نے پلایا ہے مجھے
۷ شیرِ اللہ سے پائی ہے شجاعت میں نے ساتھ شبیر کے کی دین کی نصرت میں نے پائی کچھ اس لیے عالم میں یہ عظمت میں نے کی ہے شبیر و علمدار کی بیعت میں نے دلِ مومن میں سدا میری عقیدت ہو گی حشر تک میری شبیہوں کی زیارت ہو گی
۸ شکرِ خالق کہ مجھے بیتِ پیغمبر میں رکھا دو جہاں جس کے گداگر ہیں اسی گھر میں رکھا کسی باطل نہ کسی غیر کے چکر میں رکھا جب بھی رکھا مجھے اسلام کے لشکر میں رکھا زین جب بھی شہِ والا نے سنواری ہے میری خود نظرِ ثانیِ زہرا نے اتاری ہے میری
۹ ذوالجناح کرتا ہے اے نور علی اب یہ کلام ساتھ قائم کے کروں گا میں سرِ دہر قیام سارے عالم کو سمجھ آئے گا تب میرا مقام جب مری پشت پہ آئے گا زمانے کا امام چشمِ آگاہ کو میں دید پناہی دوں گا میں انہیں سارے شہیدوں کی گواہی دوں گا

Zuljanah Naam Hai Shabir Ka Rahwar Huṅ Maiṅ

1 Zuljanah Naam Hai Shabir Ka Rahwar Huṅ Maiṅ Nur-e-Awal Ki Qasam Sahmil-e-Anwaar Huṅ Maiṅ Khud Wafadar Yeh Kehte Haiṅ Wafadar Huṅ Maiṅ Mere Hum Jins Jo Haiṅ Unka Alamdar Huṅ Maiṅ Jab Se Allah Ne Iss Dar Ki Ghulami Di Hai Mujh Ko Aa Aa Ke Farishtoṅ Ne Salami Di Hai
2 Woh Jo Hai Shafa-e-Batha Woh Hai Aaqa Mera Jis Ki Thokar Meiṅ Hai Dunya Woh Hai Aaqa Mera Jis Ke Sajde Meiṅ Hai Kaba Woh Hai Aaqa Mera Jo Hai Abbas Ka Aaqa Woh Hai Aaqa Mera Nur Ko Jiss Ne Uthaya Woh Amari Maiṅ Huṅ Dosh-e-Ahmad Ke Sawaroṅ Ki Sawari Maiṅ Huṅ
3 Dar-e-Imran Ne Bakhsha Hai Yeh Faizan Mujhe Ruz-e-Awal Se Hai Tuhid Pe Eman Mujhe Had-e-Mumkin Meiṅ Nahi La Saka Imkan Mujhe Janwar Hai Woh Samajta Hai Jo Haiwan Mujhe Aaytoṅ Meiṅ Ba-Khuda Zikar Mera Aaya Hai Meri Tapuṅ Ki Tu Allah Qasam Khata Hai
4 Nisbat-e-Khas Yeh Rakhi Hai Taharat Mujh Se Dur Allah Ne Rakhi Hai Nijasat Mujh Se Bateiṅ Karti Rahi Allah Ki Aayat Mujh Se Kitna Khush Bakht Huṅ Maiṅ Khush Hai Imamat Mujh Se Rab-e-Kaba Ki Qasam Youṅ Bhi Ibadat Ki Hai Maiṅ Ne Allah Ke Chehre Ki Ziyarat Ki Hai
5 Hai Azadar Zamane Meiṅ Dua-e-Zahra Hai Azadar Ke Humrah Wila-e-Zahra Hai Azadar Pe Har Gaam Ata-e-Zahra Saya Karti Hai Sada Oss Pe Rida-e-Zahra Har Azadari-e-Shabir Ka Maimar Huṅ Maiṅ Barsar-e-Lasha-e-Sheh Pehle Azadar Huṅ Maiṅ
6 Amar-e-Khaliq Se Maiṅ Anwar Ke Paikar Meiṅ Dhala Shab-e-Asra Meri Raftar Se Buraq Chala Kab Samaj Paya Zamana Mere Rutbe Ko Bhala Jahaṅ Hasnain Pale Maiṅ Bhi Ossi Ghar Meiṅ Pala Dana Shehzadi Ne Palu Meiṅ Khilaya Hai Mujhe Pani Saqa-e-Sakina Ne Pilaya Hai Mujhe
7 Shair-e-Allah Se Payi Hai Shujat Maiṅ Ne Sath Shabir Ke Ki Dein Ki Nusrat Maiṅ Ne Payi Kuch Iss Liye Aalam Meiṅ Yeh Azmat Maiṅ Ne Ki Hai Shabir o Alamdar Ki Baiyat Maiṅ Ne Dil-e-Momin Meiṅ Sada Meri Aqidat Ho Gi Hashar Tak Meri Shabihoṅ Ki Ziyarat Ho Gi
8 Shukar-e-Khaliq Ke Mujhe Bait-e-Payamber Meiṅ Rakha Do Jahaṅ Jis Ke Gadagar Haiṅ Ossi Ghar Meiṅ Rakha Kissi Batil Na Kissi Ghair Ke Chakar Meiṅ Rakha.. Jab Bhi Rakha Mujhe Islam Ke Lashkar Meiṅ Rakha Zin Jab Bhi Sheh-e-Wala Ne Sunwari Hai Meri Khud Nazar-e-Sani-e-Zahra Ne Utari Hai Meri
9 Zuljinah Karta Hai Ae Nur Ali Ab Yeh Kalam Sath Qayam Ke Karoṅ Ga Maiṅ Sar-e-Dahar Qiyam Sare Aalam Ko Samaj Aaye Ga Tab Mera Muqam Jab Meri Pusht Pe Aaye Ga Zamane Ka Imam Chashm-e-Aagah Ko Maiṅ Did Panahi Duṅ Ga Maiṅ Unheiṅ Sare Shahidoṅ Ki Gawahi Duṅ Ga