ذکر جب زینب مضطر کا بیاں ہوتا ہے
Zikr Jab Zainab-e-Muztar Ka Bayaaṅ Hota Hai
Show
ذکر جب زینب مضطر کا بیاں ہوتا ہے
ذکر جب زینب مضطر کا بیاں ہوتا ہے
خون سجاد کی آنکھوں سے رواں ہوتا ہے
۱
دست شبیر پہ بے شیر نے ثابت یہ کیا
ہاشمی خون تو بچپن سے جواں ہوتا ہے
۲
نوکِ نیزہ سے لحد میں سے نکالے لاشہ
ظلم ایسا یہ زمانے میں کہاں ہوتا ہے
۳
بھائی بیٹوں کے ہو بے گور و کفن لاشے پڑے
ایسے عالم میں قیامت کا سماں ہوتا ہے
۴
فاطمہ زہرا وہاں خود ہی پہنچ جاتی ہے
ذکر حسنین شریفین جہاں ہوتا ہے
۵
آؤ سجاد کی آنکھوں کے لہو کو دیکھو
منظر کربوبلا سارا عیاں ہوتا ہے
۶
تو امیر ایک نہیں شاہ کے غم میں شامل
محو غم آج تو ہر کون و مکاں ہوتا ہے
Zikr Jab Zainab-e-Muztar Ka Bayaaṅ Hota Hai
Zikr jab Zainab-e-muztar ka bayaaṅ hota hai
Khun Sajjaad ki aankhoṅ se rawaaṅ hota hai
1
Dast-e-Shabbir pe beshir ne saabit ye kiya
Haashmi khun to bachpan se jawaaṅ hota hai
2
Nok-e-naiza se lahad meiṅ se nikaale laasha
Zulm aisa ye zamaane meiṅ kahaaṅ hota hai
3
Bhaai betoṅ ke ho begor o kafan laashe pare
Aise aalam meiṅ qayaamat ka samaaṅ hota hai
4
Faatima Zehra wahaaṅ khud hi pahunch jaati hai
Zikr-e-Hasnain sharifain jahaaṅ hota hai
5
Aao Sajjaad ki aankhoṅ ke lahu ko dekho
Manzar-e-Karbobala saara ayaaṅ hota hai
6
Tu Amir ek nahiṅ Shaah ke gham meiṅ shaamil
Mahw-e-gham aaj to har kaun o makaaṅ hota hai