Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

زہرا حسن حسین کی پروردگار ہے

Zehra Hasan Husain Ki Parwardigaar Hai

Add to set
Show

زہرا حسن حسین کی پروردگار ہے

۱ کیا منزلت ہے مرتبہ کیا شاندار ہے زہرا حسن حسین کی پروردگار ہے
۲ ہو کے بلند دیکھتی ہے مسجدِ نبی اے بی‌بی تیرا کتنا مقدس مزار ہے
۳ اٹھیں نہ کیوں رسول بھی تعظیم کے لیے زہرا کے گرد نورِ خدا کا حصار ہے
۴ قرآن آپ غور سے پڑھ کر تو دیکھیے زہرا کی منقبت ہے بڑی شاندار ہے
۵ چکی چلا کے یہ ہی چلاتی ہیں کائنات ان کی کنیز گردشِ لیل و نہار ہے
۶ مسند پہ بیٹھے کانپ رہے ہیں فدک کے چور خطبہ ہے یہ بتول کا یا ذوالفقار ہے
۷ جس نے ستایا فاطمہ بنتِ رسول کو لعنت اس آدمی پہ کہو بے شمار ہے
۸ بنتِ نبی کی شان میں کیسے بیان کروں سجدہ بھی ان کے سامنے سجدہ گزار ہے
۹ چلتی ہے صرف آلِ محمد کے حکم سے وہ کشتی جس پہ نوح کی کشتی سوار ہے
۱۰ ہاں ہاں ارے منافقوں یہ ہی تو ہے نفاق بیٹی سے بغض تم کو محمد سے پیار ہے
۱۱ کہتے ہیں جس کو گوہرِ نایاب اصل میں ذرہ نجف کی خاک کا وہ خاکسار ہے

Zehra Hasan Husain Ki Parwardigaar Hai

1 Kya manzilat hai martaba kya shaandaar hai Zahra Hasan Husain ki parwardigaar hai
2 Ho ke buland dekhti hai Masjid-e-Nabi Ae Bibi tera kitna muqaddas mazaar hai
3 Utheṅ na kiuṅ Rasul bhi taazim ke liye Zahra ke gird nur-e-Khuda ka hisaar hai
4 Quraan aap ghaur se parh kar to dekhiye Zahra ki manqabat hai bari shaandaar hai
5 Chakki chala ke ye hi chalaati haiṅ kaainaat In ki kaniz gardish-e-lail o nahaar hai
6 Masnad pe baithe kaamp rahe haiṅ Fidak ke chor Khutba hai ye Batul ka ya Zulfiqaar hai
7 Jis ne sataaya Faatima Bint-e-Rasul ko Laanat us aadmi pe kaho beshumaar hai
8 Bint-e-Nabi ki shaan meiṅ kaise bayaan karuṅ Sajda bhi in ke saamne sajda guzaar hai
9 Chalti hai sirf Aal-e-Muhammad ke hukm se Wo kashti jis pe Nuh ki kashti sawaar hai
10 Haaṅ haaṅ are munaafiqoṅ ye hi to hai nifaaq Beti se bughz tum ko Muhammad se pyaar hai
11 Kehte haiṅ jis ko Gohar-e-naayaab asl meiṅ Zarra Najaf ki khaak ka wo khaaksaar hai