Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

العجل العجل العجل

Zameene Karbala

Add to set
Show

العجل العجل العجل

العجل العجل العجل آئے کعبے سے صدا حی علی خیر العمل العجل اے وارث خونِ شہیداں العجل اے یوسف زہرا زمین کربلا والے تجھے آواز دیتے ہیں بہتر بیکفن لاشے تجھے آواز دیتے ہیں
۱ ہے کہیں گنج شہیداں میں رکھی گٹھڑی کوئی کسی کی لاش کے ٹکڑے تجھے آواز دیتے ہیں
۲ چلتے ناقے سے گرے جو ماؤں کی آغوش سے وہ سارے بے زباں بچے تجھے آواز دیتے ہیں
۳ تشنگی آ کر سکینہ اور اصغر کی بجھا نہ جانے کب سے وہ پیاسے تجھے آواز دیتے ہیں
۴ العجل کہتی ہے جھولے کی سلگتی لکڑیاں کہیں جلتے ہوئے خیمے تجھے آواز دیتے ہیں
۵ ان کی مظلومی مصیب کی زمیں سے پوچھ لے وہ دو بچے رقیہ کے تجھے آواز دیتے ہیں
۶ جلتے خیموں سے بچا کر لائی جو سجاد کو اسی کے پاؤں کے چھالے آواز دیتے ہیں
۷ جو شہیدانِ ولاے مرتضیٰ ہے آج بھی کفن باندھے ہوئے سر سے آواز دیتے ہیں
۸ حلقۂ ماتم میں آ کر اے تکلم ماتمی تجھے آواز دیتے تھے تجھے آواز دیتے ہیں

Zameene Karbala

Al-ajal al-ajal al-ajal Aaye Kaabe se sada hayya ala khairal amal Al-ajal ae waaris-e-khun-e-shahidaaṅ al-ajal Ae Yusuf-e-Zahra Zamin-e-Karbala waale tujhe aawaaz dete haiṅ Bahattar bekafan laashe tujhe aawaaz dete haiṅ
1 Hai kahiṅ ganj-e-shahidaaṅ meiṅ rakhi gathri koi Kisi ki laash ke tukre tujhe aawaaz dete haiṅ
2 Chalte naaqe se gire jo maaoṅ ki aaghosh se Wo saare bezubaaṅ bachche tujhe aawaaz dete haiṅ
3 Tishnagi aa kar Sakina aur Asghar ki bujha Na jaane kab se wo pyaase tujhe aawaaz dete haiṅ
4 Al-ajal kehti hai jhule ki sulagti lakriyaaṅ Kahiṅ jalte hue khaime tujhe aawaaz dete haiṅ
5 Un ki mazlumi Musayyab ki zamiṅ se puchh le Wo do bachche Ruqayya ke tujhe aawaaz dete haiṅ
6 Jalte khaimoṅ se bacha kar laai jo Sajjad ko Usi ke paaoṅ ke chhaale aawaaz dete haiṅ
7 Jo shahidaan-e-wilaa-e-Murtaza hai aaj bhi Kafan baandhe hue sar se aawaaz dete haiṅ
8 Halqa-e-maatam meiṅ aa kar ae Takallum maatami Tujhe aawaaz dete the tujhe aawaaz dete haiṅ