مسجد میں ہوئے زخمی حیدر
Zakhmi Haidar
Show
مسجد میں ہوئے زخمی حیدر
مسجد میں ہوئے زخمی حیدر
زینب پہ قیامت ٹوٹی ہے
یہ فجر علی کی بیٹی کو
عاشور کے جیسی لگتی ہے
۱
نزدیک جو پہنچے گھر کے علی
بولے یہ حسن سے اے بیٹا
اصحاب یہ کہہ دو گھر جائے
دروازے پہ زینب بیٹھی ہے
۲
زینب نے زخمی بابا کے
چہرے سے لہو جو صاف کیا
مرقد سے صدا دی زہرا نے
یہ کربل کی تیاری ہے
۳
دو سال کے ہیں سجاد مگر
بند آنکھیں کی ہے غیرت سے
ناموس محمد کی جو ردا
گرتی ہوئی سر سے دیکھی ہے
۴
ایک بار شہادت بابا کی
ایک بار شہادت شوہر کی
افسوس کے شہر کوفہ میں
دو بار رقیہ اجڑی ہے
۵
وہ جس نے اپنے قاتل کو
شربت سے نوازا کوفے میں
اولاد اسی کی امت نے
صحرا میں پیاسی ماری ہے
۶
آہستہ علی نے دی یہ صدا
گھبرانا نہیں میں بھی ہوں گا
بازار میں جانا ہے تم کو
زینب یہ خدا کی مرضی ہے
۷
اے میر تکلم شور اٹھا
اب دونوں ملیں گے کرب و بلا
انا للہ پڑھ لو زینب
بابا کی سواری جاتی ہے
Zakhmi Haidar
Masjid meiṅ huwe zakhmi Haidar
Zainab pe qayaamat tuti hai
Ye fajr Ali ki beti ko
Aashur ke jaisi lagti hai
1
Nazdik jo pahunche ghar ke Ali
Bole ye Hasan se ae beta
Ashaab se keh do ghar jaaye
Darwaaze pe Zainab baithi hai
2
Zainab ne zakhmi baba ke
Chehre se lahu jo saaf kiya
Marqad se sada di Zahra ne
Ye Karbal ki tayyaari hai
3
Do saal ke haiṅ Sajjad magar
Band aankheiṅ ki hai ghairat se
Naamus-e-Muhammad ki jo rida
Girti hui sar se dekhi hai
4
Ek baar shahaadat baba ki
Ek baar shahaadat shauhar ki
Afsos ke shahr-e-Kufa meiṅ
Do baar Ruqayya ujri hai
5
Wo jis ne apne qaatil ko
Sharbat se nawaaza Kufe meiṅ
Aulaad usi ki ummat ne
Sahra meiṅ pyaasi maari hai
6
Aahista Ali ne di ye sada
Ghabraana nahiṅ maiṅ bhi hoṅga
Bazaar meiṅ jaana hai tum ko
Zainab ye Khuda ki marzi hai
7
Ae Mir Takallum shor utha
Ab donoṅ mileṅge Karb o Bala
Inna lillaah parh lo Zainab
Baba ki sawari jaati hai