نہ کربلا نہ کوفہ نہ دربارِ عام میں
Zainab Shahid Ho Gayi
Show
نہ کربلا نہ کوفہ نہ دربارِ عام میں
نہ کربلا نہ کوفہ نہ دربارِ عام میں
زینب شہید ہو گئی بازار شام میں
۱
بیبی پہ یوں تو شام غریباں سے تھی جفا
بازار شام آیا تو سر پر نہ تھی ردا
نیزے سے سر جو حضرت عباس کا گرا
زینب شہید ہو گئی بازار شام میں
۲
برسات پتھروں کی چراغاں کا چار سو
پہلے ہی تازیانے برستے تھے کو بہ کو
بہنے لگا جو آنکھ سے سجاد کے لہو
زینب شہید ہو گئی بازار شام میں
۳
زینب ترستی رہ گئی آرام و چین کو
موقع ملا نہ مجلس و ماتم کو بین کو
مانگا تھا جب کنیزی میں بنت حسین کو
زینب شہید ہو گئی بازار شام میں
۴
بھائی کا سر سناں پہ تھا زلفیں لہو میں تر
نوک سناں پہ عون و محمد کے دیکھے سر
چھوٹے سے ایک سر پہ پڑی جس گھڑی نظر
زینب شہید ہو گئی بازار شام میں
۵
اکبر سے کربلا میں ملاقات کب ہوئی
نیزوں کے قافلے میں اسے ڈھونڈتی رہی
بازار شام میں جو نظر سر پہ پڑ گئی
زینب شہید ہو گئی بازار شام میں
۶
باندھا گیا سکینہ کو پشت شتر کے ساتھ
وہ تشنگی تھی ماں سے بھی کرتی نہیں تھی بات
بالوں تلک سکینہ کے پہنچے لعیں کے ہاتھ
زینب شہید ہو گئی بازار شام میں
۷
بس سانس چل رہی تھی تو زندہ کہاں رہی
تلوار جس کے سر پہ چلی بے ردائی کی
کہتی تھی دیکھو پر یہ مدینے میں اب کوئی
زینب شہید ہو گئی بازار شام میں
۸
ریحان یوں تو پھر سر کم یہ طویل ہے
اشکوں کی میری آنکھ سے جاری سبیل ہے
بیبی کا روضہ شام میں ہونا دلیل ہے
زینب شہید ہو گئی بازار شام میں
Zainab Shahid Ho Gayi
Na Karbala na Kufa na darbaar-e-aam meiṅ
Zainab shahid ho gayi baazaar-e-Shaam meiṅ
1
Bibi pe yuṅ to shaam-e-gharibaṅ se thi jafa
Baazaar-e-Shaam aaya to sar par na thi rida
Naize se sar jo Hazrat-e-Abbas ka gira
Zainab shahid ho gayi baazaar-e-Shaam meiṅ
2
Barsaat pattharoṅ ki charaaghaṅ ka chaar su
Pehle hi taaziyaane baraste the ku ba ku
Behne laga jo aankh se Sajjad ke lahu
Zainab shahid ho gayi baazaar-e-Shaam meiṅ
3
Zainab tarasti reh gayi aaraam o chain ko
Mauqa mila na majlis o maatam ko bain ko
Maanga tha jab kanizi meiṅ bint-e-Husain ko
Zainab shahid ho gayi baazaar-e-Shaam meiṅ
4
Bhai ka sar sinaṅ pe tha zulfeṅ lahu meiṅ tar
Nok-e-sinaṅ pe Aun o Muhammad ke dekhe sar
Chhote se ek sar pe pari jis ghari nazar
Zainab shahid ho gayi baazaar-e-Shaam meiṅ
5
Akbar se Karbala meiṅ mulaaqaat kab hui
Naizoṅ ke qaafile meiṅ use dhundti rahi
Baazaar-e-Shaam meiṅ jo nazar sar pe par gayi
Zainab shahid ho gayi baazaar-e-Shaam meiṅ
6
Baandha gaya Sakina ko pusht-e-shutar ke saath
Wo tashnagi thi maaṅ se bhi karti nahiṅ thi baat
Baaloṅ talak Sakina ke pahunche laiṅ ke haath
Zainab shahid ho gayi baazaar-e-Shaam meiṅ
7
Bas saans chal rahi thi to zinda kahaaṅ rahi
Talwaar jis ke sar pe chali beridaai ki
Kehti thi dekho par ye Madine meiṅ ab koi
Zainab shahid ho gayi baazaar-e-Shaam meiṅ
8
Rehaan yuṅ to phir sar-e-kam ye tawil hai
Ashkoṅ ki meri aankh se jaari sabil hai
Bibi ka rauza Shaam meiṅ hona dalil hai
Zainab shahid ho gayi baazaar-e-Shaam meiṅ