زینبؑ نے کی فریاد نانا، فریاد نانا فریاد نانا
Zainab Nay Ki Faryaad Nana

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Zainab Nay Ki Faryaad Nana, Faryaad Nana Faryaad Nana
Hum Ho Kay Aaey Barbaad Nana
1
Qatil Khara Tha Bhai Kay Sar Per, Roti Rahee Mein Katta Raha Sar
Karti Rahee Mei Faryaad Nana, Faryaad Nana Faryaad Nana
2
Rasee Thi Ik aur Bara Galay Thay, Darbaar Mein Hum Aesay Gaey Thay
Hum Per Huwi Vo Baydaad Nana, Baydaad Nana Baydaad Nana
3
Tauq-o-Salasil Gardan Mein Daalay, Zanjeer-o-Bairee Hathon Mei Pehnay
Chaltay Rahay Yun Sajjad Nana, Sajjad Nana Sajjad Nana
4
Akbar Nahien Hai Asghar Nahien Hai, Qasim Nahien Hai Sarwar Nahien Hai
Aatay Hain Mujhko Sub Yaad Nana, Sub Yaad Nana Sub Yaad Nana
5
Is Gham Say Mera Phatta Hay Seena, Qaidee Hai Ub Tak Bali Sakina
aur Hum Houay Hain Azaad Nana, Azaad Nana Azaad Nana
6
Chader Nahien Thi Afsos Ser Per, Hum Bayrida Thay Shirin Kay Dar Per
Kaisee Thee haaye Uftaad Nana, Uftaad Nana Uftaad Nana
7
Ujra Houa Hai Kumba Humara, Hum Hogaey Hain Ub Bay Sahara
Karbobala Hai Abaad Nana, Abaad Nana Abaad Nana
8
Nana Tumharay Tatheer Walay, Ummat Kay Hathon Mein Bayrida Thay
Koi To Kerta Imdad Nana, Imdad Nana Imdad Nana
9
Hiltha Tha Roza Hasnain-o-Qaiser, Zainab Jo Bolin Qabr-e-Nabi Per
Sunlay Humaree Rudaad Nana, Rudaad Nana Rudaad Nana