Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

ارمان ہے یہ زینب عالی مقام کا

Zainab Lipat Gayi Hai

Add to set
Show

ارمان ہے یہ زینب عالی مقام کا

ارمان ہے یہ زینب عالی مقام کا چہلم ہے کربلا میں شہ تشنہ کام کا
۱ بھائی کی قبر دیکھ کے آنسو نکل پڑے پیاسوں کی یاد آئی تو دریا ابل پڑے بھائی کی قبر ہل گئی خواہر کے بین سے زینب لپٹ گئی ہے مزار حسین سے
۲ بھیا تمہارے بعد انوکھے ستم ہوئے درے لگے ردائیں چھنی خیمے جل گئے بانو کے قلب کا وہ سہارا بھی جل گیا ماں دیکھتی ہی رہ گئی جھولا بھی جل گیا بھائی کی قبر ہل گئی خواہر کے بین سے
۳ بھیا وہ رات کیسی قیامت کی رات تھی اہل حرم پہ سخت مصیبت کی رات تھی شانے کٹا کے میرا نگہبان سو گیا عباس کا جو فرض تھا میں نے ادا کیا بھائی کی قبر ہل گئی خواہر کے بین سے
۴ آغاز کربلا سے ہمارا سفر ہوا عابد کو دیکھ دیکھ کے ٹکڑے جگر ہوا کوفے میں سر برہنہ جو آل عبا گئے بابا ہر ایک قدم پہ مجھے یاد آ گئے بھائی کی قبر ہل گئی خواہر کے بین سے
۵ بھیا پھر اس کے بعد قیامت تھی آ گئی کنبے کو لے کے شام میں میں بے ردا گئی تاب نظر کہاں تھی مگر دیکھنا پڑا طشت طلا میں آپ کا سر دیکھنا پڑا بھائی کی قبر ہل گئی خواہر کے بین سے
۶ بھیا تمہاری بیٹی پہ کیا کیا ستم ہوا لیکن کبھی نہ صبر کا معیار کم ہوا جب انتہائے ظلم ستمگار ہو گئی آخر سکینہ شام کے زنداں میں سو گئی بھائی کی قبر ہل گئی خواہر کے بین سے
۷ چہلم کے بعد میں جو مدینے کو جاؤں گی اماں کو میں سفر کی مصیبت سناؤں گی گر ہو سکے تو نیل رسن کے دکھاؤں گی میں زندگی تمام تیرا غم مناؤں گی بھائی کی قبر ہل گئی خواہر کے بین سے

Zainab Lipat Gayi Hai

Armaan hai ye Zainab-e-aali maqaam ka Chehlum hai Karbala meiṅ Shaah-e-tashnakaam ka
1 Bhai ki qabr dekh ke aansu nikal pare Pyaasoṅ ki yaad aayi to darya ubal pare Bhai ki qabr hil gayi khwaahar ke bain se Zainab lipat gayi hai mazaar-e-Husain se
2 Bhaiya tumhare baad anokhe sitam huwe Durre lage ridaaeṅ chhini khaime jal gaye Bano ke qalb ka wo sahara bhi jal gaya Maa dekhti hi reh gayi jhula bhi jal gaya Bhai ki qabr hil gayi khwaahar ke bain se
3 Bhaiya wo raat kaisi qayamat ki raat thi Ahl-e-haram pa sakht musibat ki raat thi Shaane kata ke mera nigehban so gaya Abbas ka jo farz tha maiṅ ne adaa kiya Bhai ki qabr hil gayi khwaahar ke bain se
4 Aaghaaz Karbala se hamaara safar hua Aabid ko dekh dekh ke tukre jigar hua Kufe meiṅ sar barehna jo Aal-e-Aba gaye Baba har ek qadam pa mujhe yaad aa gaye Bhai ki qabr hil gayi khwaahar ke bain se
5 Bhaiya phir us ke baad qayaamat hi aa gayi Kunbe ko le ke Shaam meiṅ maiṅ berida gayi Taab-e-nazar kahaaṅ thi magar dekhna para Tasht-e-tila meiṅ aap ka sar dekhna para Bhai ki qabr hil gayi khwaahar ke bain se
6 Bhaiya tumhari beti pa kya kya sitam hua Lekin kabhi na sabr ka meaar kam hua Jab intehaa-e-zulm-e-sitamgaar ho gayi Aakhir Sakina Shaam ke zindaaṅ meiṅ so gayi Bhai ki qabr hil gayi khwaahar ke bain se
7 Chehlum ke baad maiṅ jo Madine ko jaauṅ gi Amma ko maiṅ safar ki musibat sunaauṅ gi Gar ho sake to nil-e-rasan ke dikhaauṅ gi Maiṅ zindagi tamaam tera gham manaauṅ gi Bhai ki qabr hil gayi khwaahar ke bain se