Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

زینب کا جو عباس تھا لشکر کے برابر

Zainab Ka Jo Abbas

Add to set
Show

زینب کا جو عباس تھا لشکر کے برابر

زینب کا جو عباس تھا لشکر کے برابر اس کی بھی لحد بن گئی اصغر کے برابر
۱ وہ شیر گرا خاک پہ پشت فرس سے بے دست پہ تلوار و سناں تیر تھے برسے وہ وقت تھا شبیر پہ محشر کے برابر
۲ ٹکڑوں میں جو شبیر کا عباس بٹا تھا اعلان سر دشت یہ تب کرتے تھے اعدا بدلے بھی ہوئے بدر کے خیبر کے برابر
۳ گہنا گیا بن میں بنی ہاشم کا قمر بھی بعد اس کے جھکی کرب سے مولا کی کمر بھی جو واسطے بہنوں کے تھا چادر کے برابر
۴ نیزے سے بھی عباس کا سر گرتا رہا تھا در اصل تقاضہ تھا یہ آقا سے وفا کا کیسے وہ ٹھہرتا سر سرور کے برابر
۵ بے بازو تھا بے سر بھی تھا بے غسل و کفن تھا رب جانے اسے کس طرح عابد نے سمیٹا تدفین سر دشت کی ٹکڑوں کے برابر
۶ شبیر کے لشکر میں سب اصحاب جری تھے یہ وصف مگر خاص تھا عباس کا ہائے لگتا تھا اکیلا وہ بہتر کے برابر
۷ جو بغض محمد سے تھا زہرا و علی سے مظلوم حسن اور حسین ابنِ علی سے غازی سے لیے بدلے بھرے گھر کے برابر
۸ نوحے کو صحاب ایک ہی مصرعے میں اتارا جب شادماں یہ روضۂ عباس پہ بولا حق تھا کہ لحد ہو تیری حیدر کے برابر

Zainab Ka Jo Abbas

Zainab ka jo Abbas tha lashkar ke baraabar Us ki bhi lahad ban gayi Asghar ke baraabar
1 Wo sher gira khaak pe jab pusht-e-faras se Bedast pe talwaar o sinaaṅ tir the barse Wo waqt tha Shabbir pe mahshar ke baraabar
2 Tukroṅ meiṅ jo Shabbir ka Abbas bata tha Elaan sar-e-dasht ye tab karte the aada Badle bhi hue Badr ke Khaibar ke baraabar
3 Gehna gaya ban meiṅ Bani Haashim ka qamar bhi Baad us ke jhuki karb se Maula ki kamar bhi Jo waaste behnoṅ ke tha chaadar ke baraabar
4 Naize se bhi Abbas ka sar girta raha tha Dar asl taqaaza tha ye Aaqa se wafa ka Kaise wo thaharta sar-e-Sarwar ke baraabar
5 Bebaazu tha besar bhi tha beghusl o kafan tha Rab jaane use kis tarah Aabid ne sameta Tadfin sar-e-dasht ki tukroṅ ke baraabar
6 Shabbir ke lashkar meiṅ sab ashaab jari the Ye wasf magar khaas tha Abbas ka haaye Lagta tha akela wo bahattar ke baraabar
7 Jo bughz Muhammad se tha Zehra o Ali se Mazlum Hasan aur Husain ibn-e-Ali se Ghaazi se liye badle bhare ghar ke baraabar
8 Nauhe ko sahab ek hi misre meiṅ utaara Jab Shadmaaṅ ye rauza-e-Abbas pe bola Haq tha ke lahad ho teri Haidar ke baraabar