زینب جگر فگار جہاں سے گزر گئی
Zainab Jigar Figaar
Show
زینب جگر فگار جہاں سے گزر گئی
زینب جگر فگار جہاں سے گزر گئی
۱
بیٹوں کو جس نے بھائی پہ قربان کر دیا
لاشے جب آئے شکر کا سجدہ ادا کیا
ایسا مظاہرہ کبھی دیکھا نہ صبر کا
سرور کی غم گسار جہاں سے گزر گئی
۲
بازو تھے ریسماں میں بندھے بد دعا نہ کی
بھائی بھتیجے قتل ہوئے بد دعا نہ کی
اہل حرم کے خیمے جلے بد دعا نہ کی
بھائی کی جاں نثار جہاں سے گزر گئی
۳
ہو کر اسیر کوچہ و بازار میں گئی
کنبے کو لے کے مجلس غدار میں گئی
سر ننگے جو یزید کے دربار میں گئی
محزون و دل فگار جہاں سے گزر گئی
۴
خطبہ علی کے لہجے میں جس نے سنا دیا
دربار کو یزید کے جس نے ہلا دیا
تھا حق پہ کون جس نے جہاں کو بتا دیا
حق بین و حق شعار جہاں سے گزر گئی
۵
ہمشکل مصطفیٰ کا جو ماتم نہ کر سکی
عباس با وفا کا جو ماتم نہ کر سکی
مظلوم کربلا کا جو ماتم نہ کر سکی
کنبے کی سوگوار جہاں سے گزر گئی
۶
تھی حیدری جلال کی تصویر شام میں
کی مقصد حسین کی تشہیر شام میں
رکھی بنائے مجلس شبیر شام میں
ماتم کی ذمہ دار جہاں سے گزر گئی
۷
ظالم نے بیلچے سے جسے کر دیا شہید
کیسے کہوں جو اس پہ مظالم ہوئے شدید
دل کانپتا ہے ضبط کا یارا نہیں سعید
زہرا کی یادگار جہاں سے گزر گئی
Zainab Jigar Figaar
Zainab jigar figaar jahaaṅ se guzar gayi
1
Betoṅ ko jis ne bhai pe qurbaan kar diya
Laashe jab aaye shukr ka sajda adaa kiya
Aisa muzaahira kabhi dekha na sabr ka
Sarwar ki gham gusaar jahaaṅ se guzar gayi
2
Baazu the rismaaṅ meiṅ bandhe baddua na ki
Bhai bhatije qatl hue baddua na ki
Ahl-e-haram ke khaime jale baddua na ki
Bhai ki jaaṅ nisaar jahaaṅ se guzar gayi
3
Ho kar asir kucha o bazaar meiṅ gayi
Kunbe ko le ke majlis-e-ghaddaar meiṅ gayi
Sar nange jo Yazid ke darbaar meiṅ gayi
Mahzun o dil figaar jahaaṅ se guzar gayi
4
Khutba Ali ke lehje meiṅ jis ne suna diya
Darbaar ko Yazid ke jis ne hila diya
Tha haq pe kaun jis ne jahaaṅ ko bata diya
Haq bin o haq shiaar jahaaṅ se guzar gayi
5
Hamshakl-e-Mustafa ka jo maatam na kar saki
Abbas-e-bawafa ka jo maatam na kar saki
Mazlum-e-Karbala ka jo maatam na kar saki
Kunbe ki sogwaar jahaaṅ se guzar gayi
6
Thi Haideri jalaal ki taswir Shaam meiṅ
Ki maqsad-e-Husain ki tashhir Shaam meiṅ
Rakhi binaa-e-majlis-e-Shabbir Shaam meiṅ
Maatam ki zimmedaar jahaaṅ se guzar gayi
7
Zaalim ne belche se jise kar diya shahid
Kaise kahuṅ jo us pe mazaalim hue shadid
Dil kaanpta hai zabt ka yaara nahiṅ Said
Zehra ki yaadgaar jahaaṅ se guzar gayi