Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

بنت علی ہوں نام بھی ہے زینب

Zainab Hogayi Tayyar

Add to set
Show

بنت علی ہوں نام بھی ہے زینب

بنت علی ہوں نام بھی ہے زینب وعدہ ہے تجھ سے بھیا رنگ لائے گا خوں تیرا
۱ ڈھل گیا عاشور کا دن لٹ گیا گھر بار زینب ہو گئی تیار جائے گی دربار بن کے حیدر کرار زینب ہو گئی تیار
۲ جا رہی ہوں قید ہو کر ہاں مگر وعدہ رہا میرے بھائی میں کبھی سر جھکانے نہ دوں گی تیرا نام اے بھائی تیرا زندہ رکھوں گی صدا تیری کربلا کو عام کر کے شام اپنے نام کر کے آؤں گی واپس میں بھیا یاد ہے مجھ کو تیری بیعت کا وہ انکار زینب ہو گئی تیار
۳ نہ رکوں گی چاہے جتنی بھی ہو شدت پیاس کی جانتے ہیں شام والے ہوں بہن عباس کی مجھ پہ دوران سفر جو اٹھائے گا نظر نابینا اس کی نسل ہوگی حشر تک یہ بات میری بھولیں گے شامی نہ واللہ سر پہ میرے ہاتھ رکھ دو بس اٹھ کر ایک بار زینب ہو گئی تیار
۴ جب تلاوت تم کرو گے نیزے پہ قرآن کی ہاں گھڑی وہ ہونگی بھائی جیت کے اعلان کی دوں گی جب میں یہ صدا زندہ ہے بھائی میرا کہہ دو یزید سے یہ جا کر ہار ہے تیرا مقدر جیتا ہے بس بھائی میرا اے زمین کربلا کے سید اور سردار زینب ہو گئی تیار
۵ ثانیٔ زہرا ہوں مجھ کو صرف ہے چادر کا غم ہاں مگر زینب نے بھائی کھائی ہے تیری قسم اے میرے پیاسے شہید بچ نہ پائے گا یزید اسلام کا علم اٹھا کر اس کو اس کے گھر میں جا کر مارے گی یہ زینب تنہا کاٹ دے گی اس کو میرے خطبوں کی تلوار زینب ہو گئی تیار
۶ بولنا ہے اب جلال حیدر کرار میں غیض مجھ کو آئے گا جب شام کے دربار میں سانس کی آواز بھی سن نہ پائے گا کوئی سب دیکھ لیں گے کیا ہے زینب یوں لگے گا رک گیا سب ہوگا کچھ ایسا سناٹا گونجے گی دربار میں جب اسکت کی للکار زینب ہو گئی تیار
۷ آنسو اپنے پونچھ کر فرحان و ذیشان عابدی ختم زینب نے کیے کہہ کر ملاقات آخری بھائی اب ہر دور میں اتنی ہوں گی مجلسیں ہر گھر میں ہوگا تیرا ماتم آج سے ہر دس محرم دنیا میں ہوگا عاشورہ ختم نہ ہوگی قیامت تک تیری سرکار زینب ہو گئی تیار

Zainab Hogayi Tayyar

Bint-e-Ali huṅ naam hai Zainab Waada hai tujh se bhaiya Rang laaye ga khuṅ tera
1 Dhal gaya Aashur ka din lut gaya ghar baar Zainab ho gayi tayyaar Jaaye gi darbaar ban ke Haidar-e-Karraar Zainab ho gayi tayyaar
2 Jaa rahi huṅ qaid ho kar haaṅ magar waada raha Mere bhai maiṅ kabhi sar jhukne na duṅ gi tera Naam ae bhai tera zinda rakhuṅ gi sada Teri Karbala ko aam kar ke Shaam apne naam kar ke Aauṅ gi waapas maiṅ bhaiya Yaad hai mujh ko teri baiat ka wo inkaar Zainab ho gayi tayyaar
3 Na rukuṅ gi chaahe jitni bhi ho shiddat pyaas ki Jaante haiṅ Shaam waale huṅ behan Abbas ki Mujh pe dauraan-e-safar jo uthaaye ga nazar Naabina us ki nasl hogi hashr tak ye baat meri Bhuleṅ ge Shaami na wallaah Sar pe mere haath rakh do bas uth kar ek baar Zainab ho gayi tayyaar
4 Jab tilaawat tum karo ge naize pe Quraan ki Haaṅ ghari wo hogi bhai jit ke aelaan ki Duṅ gi jab maiṅ ye sada zinda hai bhai mera Keh do Yazid se ye jaa kar haar hai tera muqaddar Jita hai bas bhai mera Ae Zamin-e-Karbala ke Sayyad aur sardaar Zainab ho gayi tayyaar
5 Saani-e-Zehra huṅ mujh ko sirf hai chaadar ka gham Haaṅ magar Zainab ne bhai khaayi hai teri qasam Ae mere pyaase shahid bach na paaye ga Yazid Islaam ka alam utha kar us ko us ke ghar meiṅ jaa kar Maare gi ye Zainab tanha Kaat de gi us ko mere khutboṅ ki talwaar Zainab ho gayi tayyaar
6 Bolna hai ab Jalaal-e-Haidar-e-Karraar meiṅ Ghaiz mujh ko aaye ga jab Shaam ke darbaar meiṅ Saaṅs ki aawaaz bhi sun na paaye ga koi Sab dekh leṅ ge kya hai Zainab yuṅ lage ga ruk gaya sab Hoga kuchh aisa sannaata Gunje gi darbaar meiṅ jab uskut ki lalkaar Zainab ho gayi tayyaar
7 Aaṅsu apne poṅchh kar Farhan o Zishan Abidi Khatm Zainab ne kiye keh kar mulaaqaat aakhri Bhai ab har daur meiṅ itni hoṅ gi majliseṅ Har ghar meiṅ hoga tera maatam aaj se har das Muharram Dunya meiṅ hoga Aashura Khatm na hogi qayaamat tak teri sarkaar Zainab ho gayi tayyaar