Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

عقیلۃ العرب

Zainab Binte Ali

Add to set
Show

عقیلۃ العرب

عقیلۃ العرب
۱ اے منکر و نکیر سن لو میری صدا تم کو نہیں پتہ زینب کا ہوں فقیر یہ قبر نہیں ہے اس کا ہے عزاخانہ جو بنت مرتضیٰ ہے شبیر کی ہمشیر زینب بنتِ علی
۲ اے نکیرین سوالوں کی نہ بھرمار کرو فرش مجلس ہے یہاں آؤ ادب سے بیٹھو شہ کی مجلس ہو بپا حکم دیتی ہے یہی
۳ تم بھی آتے تھے در بنت علی پہ اکثر سجدۂ شکر کیا میں نے بھی اس چوکھٹ پر جب بھی سجدے میں جبیں میں بھی کہتا تھا یہی
۴ کون ہے مولا میرا تم کو بتاتا ہوں ابھی آؤ بیٹھو تمہیں تلقین سناتا ہوں ابھی کیا تمہیں یاد نہیں ہے مددگار میری
۵ داغ ماتم جو ہے تحریر میرے سینے پر ساتھ آیا ہے میرے میرا حوالہ بن کر ہاں کفن پر بھی میرے یہ عبارت ہے لکھی
۶ تم کو بتلاتا ہوں میں اشک عزا کی قیمت ایک آنسو کی برابر نہیں باغ جنت رونے والوں کے لئے پڑھتی ہے ناد علی
۷ سن کے یہ بات نکیرین نے خالق سے کہا اے خداوندِ زینب ہے یہ بندہ تیرا کیا سوال اس سے کرے اس کے لب پر ہے ابھی
۸ ہم سوالات کے خاطر تو نہیں آتے ہیں خیریت پوچھ کے مومن کی چلے جاتے ہیں کچھ نہیں کہتے اسے جس کی ضامن ہو بنی
۹ پھر نکیرین نے آپس میں یہ طے کر کے کہا چھوڑ دو سارے سوالات سناؤ نوحہ اور مسلسل یہ صدا قبر سے آتی رہی
۱۰ اے نکیرین وہ عباس علی کی خواہر مجمعِ اہل ستم میں یہ پکاری رو کر میں وہی بی‌بی ہوں جس کو کہتے ہیں نبی
۱۱ بات درویش نے ریحان یہ ثابت کر دی قبر میں ان سے سوالات نکیرین کبھی آ کے کر دیں گے نہیں جس سے بھی ہو راضی

Zainab Binte Ali

Aqilatul Arab
1 Ae Munkar o Nakir sun lo meri sada Tum ko nahiṅ pata Zainab ka huṅ faqir Ye qabr nahiṅ hai us ka hai azaakhaana Jo bint-e-Murtaza hai Shabbir ki hamshir Zainab bint-e-Ali
2 Ae Nakirain sawaaloṅ ki na bharmaar karo Farsh-e-majlis hai yahaaṅ aao adab se baitho Shah ki majlis ho bapa hukm deti hai yehi
3 Tum bhi aate the dar-e-bint-e-Ali pe aksar Sajda-e-shukr kiya maiṅ ne bhi us chaukhat par Jab bhi sajde meiṅ jabiṅ maiṅ bhi kehta tha yehi
4 Kaun hai Maula mera tum ko bataata huṅ abhi Aao baitho tumheṅ talqin sunaata huṅ abhi Kya tumheṅ yaad nahiṅ hai madadgaar meri
5 Daagh-e-maatam jo hai tahrir mere sine par Saath aaya hai mere mera hawaala ban kar Haaṅ kafan par bhi mere ye ibaarat hai likhi
6 Tum ko batlaata huṅ maiṅ ashk-e-aza ki qimat Ek aaṅsu ki baraabar nahiṅ baagh-e-jannat Rone waaloṅ ke liye parhti hai Naad-e-Ali
7 Sun ke ye baat Nakirain ne Khaaliq se kaha Ae Khudaawand-e-Zainab hai ye banda tera Kya sawaal is se kare is ke lab par hai abhi
8 Ham sawaalaat ke khaatir to nahiṅ aate haiṅ Khairiyat puchh ke momin ki chale jaate haiṅ Kuchh nahiṅ kehte use jis ki zaamin ho bani
9 Phir Nakirain ne aapas meiṅ ye tai kar ke kaha Chhor do saare sawaalaat sunaao nauha Aur musalsal ye sada qabr se aati rahi
10 Ae Nakirain wo Abbas-e-Ali ki khwaahar Majma-e-ahl-e-sitam meiṅ ye pukaari ro kar Maiṅ wohi Bibi huṅ jis ko kehte haiṅ Nabi
11 Baat Darvesh ne Rehaan ye saabit kar di Qabr meiṅ un se sawaalaat Nakirain kabhi Aa ke kar deṅ ge nahiṅ jis se bhi ho raazi