ظہور کا وقت آ گیا ہے
Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai

- Language
- Urdu
Roman Urdu
1
Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Imam Se Lau Lagaye Rakhna
Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Haram Pe Nazrein Jamaye Rakhna
Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Charagh-e-Ulfat Jalaye Rakhna
2
Na Neend Aaye Na Oongh Aaye, Rakho Har Ek Pal Nazar Jamaye
Dil-o-Nazar Se Ke Samarra Se Na Jaane Kis Raaste Se Aaye
Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Har Ek Rasta Sajaye Rakhna
3
Na Hubb-e-Dunya Se Kuch Ilaaqa, Na Ghair Se Raah-o-Rasm Rakhna
Tumhari Daulat Hai Ilm-o-Taqwa, Karega Dajjal Is Pe Hamla
Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Tum Apni Poonji Bachaye Rakhna
4
Yahin Kahin Aas Paas Hoga, Woh Aane Wala Tha Aa Chuka Hai
Hawari-e-Isa Ke Saath Honge, Mawali Maula Ke Saath Honge
Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai, Mawaliyon Se Banaye Rakhna
5
Hai Intiqam-e-Hussain Baqi, Woh Aane Wala Hisaab Lega
Aqeeda Apna Durust Rakhna, Jo Unki Nusrat Ki Hai Tamanna
Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai, Amal Ko Bhi Aazmaye Rakhna
6
Siwaye Chand Ek Zahoor Ki Sab Alaamatein Puri Ho Chuki Hain
Baseerat-o-Marifat Tumhari Adu-e-Haq Ko Khatak Rahi Hain
Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Dil-o-Nazar Ko Bachaye Rakhna
7
Naye Naye Naghmaha-e-Ulfat Jo Roz Keh Keh Ke La Rahe Ho
Pa-e-Ziyarat Jo Sibt-e-Jafar Imam Ke Dar Par Aa Pare Ho
Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Tum Apna Bistar Lagaye Rakhna