Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

ظاہر ہوا ہے اس سے حمایت رضا کی ہے

Zahir Hua Hai Is Se Himaayat Raza Ki Hai

Add to set
Show

ظاہر ہوا ہے اس سے حمایت رضا کی ہے

ظاہر ہوا ہے اس سے حمایت رضا کی ہے ہے محفلِ معصومہ صدارت رضا کی ہے
۱ ہر اک ہو جشنِ پاک میں شامل نہیں نہیں آتا ہے وہ ہی جس کو بھی دعوت رضا کی ہے
۲ قرآن مزارِ معصومِ قم پہ ہے رکھا چاروں پہر واں جاری تلاوت رضا کی ہے
۳ دیکھا ہے خواب قم کی مقدس زمین پر مغرب میں پڑھ رہا ہوں امامت رضا کی ہے
۴ عاشق ہوں نہ جھکوں گا خبردار واعظو تم فکر کرو آگے عدالت رضا کی ہے
۵ تبریک دینے آئے ہیں کل انبیا وہاں کاظم کے گھر میں آج ولادت رضا کی ہے
۶ محشر میں ہوگا سایۂ دامنِ علی میں جس نے قبولی دل سے ولایت رضا کی ہے
۷ یہ جشن قم کی ملکہ کا افراز جعفری ہر سال ہوگا کیوں کہ ضمانت رضا کی ہے

Zahir Hua Hai Is Se Himaayat Raza Ki Hai

Zahir hua hai is se himaayat Raza ki hai Hai mehfil-e-Maasuma sadaarat Raza ki hai
1 Har ik ho jashn-e-paak meiṅ shaamil nahiṅ nahiṅ Aata hai woh hi jis ko bhi daawat Raza ki hai
2 Quraan mazaar-e-Maasum-e-Qum pe hai rakha Chaaroṅ pehar waaṅ jaari tilaawat Raza ki hai
3 Dekha hai khwaab Qum ki muqaddas zamin par Maghrib maiṅ parh raha huṅ imaamat Raza ki hai
4 Aashiq huṅ na jhukuṅga khabardaar waaizo Tum fikr karo aage adaalat Raza ki hai
5 Tabrik dene aaye haiṅ kul Ambiya wahaaṅ Kaazim ke ghar meiṅ aaj wilaadat Raza ki hai
6 Mehshar meiṅ hoga saaya-e-daaman-e-Ali meiṅ Jis ne qubuli dil se wilaayat Raza ki hai
7 Yeh jashn Qum ki malka ka Afraz Jafri Har saal hoga kiuṅ ke zamaanat Raza ki hai