Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

ظالموں نے لوٹا ہے ہائے گھر پیمبر کا

Zaalimoṅ Ne Luta

Add to set
Show

ظالموں نے لوٹا ہے ہائے گھر پیمبر کا

ظالموں نے لوٹا ہے ہائے گھر پیمبر کا
۱ ہائے کیا فضا چھائی گلشنِ محمد پر کربلا کے میدان میں کھینچ کے آ گئے لشکر کوفیوں نے دھوکے سے شاہ دیں کو بلوا کر ظلم سے گلا کاٹا ہائے ابنِ حیدر کا
۲ گرچہ ضعف پیری سے جھک گئی کمر دیکھو پھر بھی سرور زیں ہے کتنے بے جگر دیکھو فتح ہو گیا خیبر یا علی ادھر دیکھو شہ کے دوش پر لاشہ ہے جواں اکبر کا
۳ ہائے کیا مظالم ہے ہائے کیا گراوٹ ہے برچھیوں کی تیروں کی کتنی سنسناہٹ ہے پھر بھی خشک ہونٹوں پر اک مسکراہٹ ہے خوں پیا ہے ناوک نے بے زباں اصغر کا
۴ جب کہ آخری دم تک مکر کے دلاسوں پر یا نبی خبر لیجئے آپ کے نواسوں پر آب تیغ برسایا تین دن کے پیاسوں پر سر چڑھایا نیزے پر دین حق کے سرور کا
۵ راز دل ڈراتا ہے سب عدو پرانے ہے بڑھ کے دیکھیے سرور بھائی کس کے مانے ہے لاش کس طرح ہوگی یہ تو صرف شانے ہیں علقمہ کے ساحل تک خون ہے دلاور کا

Zaalimoṅ Ne Luta

Zaalimoṅ ne luta hai haaye ghar Payambar ka
1 Haaye kya fiza chhaai gulshan-e-Muhammad par Karbala ke maidaan meiṅ kheṅch ke aa gaya lashkar Kufiyoṅ ne dhoke se Shaah-e-diṅ ko bulwa kar Zulm se gala kaata haaye Ibn-e-Haidar ka
2 Garche zof-e-piri se jhuk gai kamar dekho Phir bhi Sarwar-e-ziṅ hai kitne bejigar dekho Fath ho gaya Khaibar ya Ali idhar dekho Sheh ke dosh par laasha hai jawaaṅ Akbar ka
3 Haaye kya mazaalim hai haaye kya giraawat hai Barchhiyoṅ ki tiroṅ ki kitni sansanaahat hai Phir bhi khushk hoṅtoṅ par ek muskuraahat hai Khuṅ piya hai naawak ne bezabaaṅ Asghar ka
4 Jab ke aakhri dam tak makr ke dilasoṅ par Ya Nabi khabar lije aap ke nawaasoṅ par Aab-e-tegh barsaaya tin din ke pyaasoṅ par Sar charhaya naize par din-e-haq ke Sarwar ka
5 Raaz-e-dil daraata hai sab adu puraane hai Barh ke dekhiye Sarwar bhai kis ke maane hai Laash kis tarah hogi ye to sirf shaane haiṅ Alqama ke saahil tak khun hai dilaawar ka