Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

خود کو دلاسہ یہ دیتی ہے صغرا

Ye Waqt Bhi Guzar

Add to set
Show

خود کو دلاسہ یہ دیتی ہے صغرا

خود کو دلاسہ یہ دیتی ہے صغرا یہ وقت بھی گزر جائے گا
۱ یہ خالی حجرے یہ خاموش راتیں کیسے بھلا دوں سکینہ کی باتیں سمجھا دے تو اپنے دل کو یہ دکھیا یہ وقت بھی گزر جائے گا
۲ دی تھی تسلی یہ اکبر نے مجھ کو خط بھیج کر میں بلا لوں گا تجھ کو یہ سوچتے تکتی رہتی ہوں راستہ یہ وقت بھی گزر جائے گا
۳ جی بھر کے اصغر سے کھیلی کہاں میں اس کا ہمکنا بھی بھولی کہاں میں خوابوں میں آ کر یہ کہتا ہے بھیا یہ وقت بھی گزر جائے گا
۴ رو رو کے تین عیدیں میں نے گزاری اشکوں کی برسات عیدی میں پائی کہتا رہتا مجھ سے غم کا یہ دریا یہ وقت بھی گزر جائے گا
۵ گن گن کے دن زندگی کے گزاروں قاسم کو عمو کو سب کو پکاروں یادوں نے ہر دم دیا یہ دلاسہ یہ وقت بھی گزر جائے گا
۶ دادی کے مرقد پہ ہر روز جا کر مانگوں دعائیں دیوں کو جلا کر سمجھاتی رہتی ہے بس دادی زہرا یہ وقت بھی گزر جائے گا
۷ میثم سے مظہر یہ کہتا ہے رو کر ویران گھر میں تھی سرور کی دختر نوحہ تھا یا مرثیہ تھا یہ جملہ یہ وقت بھی گزر جائے گا
۸ عون و محمد کے ویران حجرے رب جانے پھر کب یہ آباد ہوں گے لوٹ آئے گا ایک دن تیرا کنبہ یہ وقت بھی گزر جائے گا

Ye Waqt Bhi Guzar

Khud ko dilaasa ye deti hai Sughra Ye waqt bhi guzar jaaega
1 Ye khaali hujre ye khaamosh raateṅ Kaise bhula duṅ Sakina ki baateṅ Samjha de tu apne dil ko ye dukhiya Ye waqt bhi guzar jaaega
2 Di thi tasalli ye Akbar ne mujh ko Khat bhej kar maiṅ bula luṅ ga tujh ko Ye sochte takti rehti huṅ raasta Ye waqt bhi guzar jaaega
3 Ji bhar ke Asghar se kheli kahaaṅ maiṅ Us ka humakna bhi bhuli kahaaṅ maiṅ Khwaaboṅ meiṅ aa kar ye kehta hai bhaiya Ye waqt bhi guzar jaaega
4 Ro ro ke tin ideṅ maiṅ ne guzaari Ashkoṅ ki barsaat idi meiṅ paai Kehta rehta mujh se gham ka ye darya Ye waqt bhi guzar jaaega
5 Gin gin ke din zindagi ke guzaaruṅ Qasim ko ammu ko sab ko pukaaruṅ Yaadoṅ ne har dam diya ye dilaasa Ye waqt bhi guzar jaaega
6 Daadi ke marqad pe har roz jaa kar Maaṅguṅ duaaeṅ diyoṅ ko jala kar Samjhaati rehti hai bas daadi Zehra Ye waqt bhi guzar jaaega
7 Misam se Mazhar ye kehta hai ro kar Viraan ghar meiṅ thi Sarwar ki dukhtar Nauha tha ya marsiya tha ye jumla Ye waqt bhi guzar jaaega
8 Aun o Muhammad ke viraan hujre Rab jaane phir kab ye aabaad hoṅ ge Laut aaega ek din tera kunba Ye waqt bhi guzar jaaega