Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

پہنا ہوا ہے کفر اسلام کا لباس

Ye Raaz Faash

Add to set
Show

پہنا ہوا ہے کفر اسلام کا لباس

پہنا ہوا ہے کفر اسلام کا لباس یہ راز فاش کر گئی سولہ پہر کی پیاس اللّٰہ اکبر اللّٰہ اکبر
۱ جب ظلم و جور سے ہوئی مخلوق بد حواس کربوبلا میں گونجی یہ آواز حق شناس حق بات کہنے والوں کو کیا خوف کیا ہراس کیوں کے پہنا ہوا ہے کفر اسلام کا لباس
۲ فرمایا شہ نے اپنی تو منزل ہے مختصر بیمار کربلا تیرا تا شام ہے سفر سجاد بے ردائیء زینب قبول کر کیوں کے پہنا ہوا ہے کفر اسلام کا لباس
۳ اب جنگ ہوگی دین پیمبر کے واسطے اکبر مٹیں گے خالق اکبر کے واسطے نہر فرات تڑپے گی اصغر کے واسطے کیوں کے پہنا ہوا ہے کفر اسلام کا لباس
۴ مومن کے واسطے تو یہی دن ہے روز عید اکبر میرا شہید ہو اصغر بھی ہو شہید پیدا نہ ہونے دوں گا کوئی حشر تک یزید کیوں کے پہنا ہوا ہے کفر اسلام کا لباس
۵ باطل کے آگے سر نہ جھکاؤں گا زنہار نائب رسول کا نہیں ہوتا ہے بد اخوار میں ہوں جنابِ احمد مرسل کی یادگار کیوں کے پہنا ہوا ہے کفر اسلام کا لباس
۶ دور یزید کوسوں ہے انسانیت سے دور باطل کا یہ طریقہ ہے حقانیت سے دور کثرت ہمیشہ رہتی ہے وحدانیت سے دور کیوں کے پہنا ہوا ہے کفر اسلام کا لباس
۷ اسلام کو شہادت شبیر چاہیے تقدیریں بھی بدلتی ہے تدبیر چاہیے اسلامیت کو حلقۂ زنجیر چاہیے کیوں کے پہنا ہوا ہے کفر اسلام کا لباس
۸ مظہر یہ کس لئے حق و باطل میں جنگ ہے حیرت کدے میں عالم اسلام دنگ ہے بعد نبی زمانے کا کچھ اور رنگ ہے کیوں کے پہنا ہوا ہے کفر اسلام کا لباس

Ye Raaz Faash

Pehna hua hai kufr ne Islam ka libaas Ye raaz faash kar gayi solah pehar ki pyaas Allahu Akbar Allahu Akbar
1 Jab zulm o jaur se hui makhluq bad hawaas Karbobala meiṅ gunji ye aawaaz-e-haq shanaas Haq baat kehne waaloṅ ko kya khauf kya hiraas Kiuṅ ke pehna hua hai kufr ne Islam ka libaas
2 Farmaaya Shah ne apni to manzil hai mukhtasar Bimaar-e-Karbala tera taa Shaam hai safar Sajjad beridaai-e-Zainab qubul kar Kiuṅ ke pehna hua hai kufr ne Islam ka libaas
3 Ab jang hogi din-e-Payambar ke waaste Akbar miteṅ ge khaaliq-e-Akbar ke waaste Nehr-e-Furaat tarpegi Asghar ke waaste Kiuṅ ke pehna hua hai kufr ne Islam ka libaas
4 Momin ke waaste to yehi din hai roz-e-Eid Akbar mera shahid ho Asghar bhi ho shahid Paida na hone duṅ ga koi hashr tak Yazid Kiuṅ ke pehna hua hai kufr ne Islam ka libaas
5 Baatil ke aage sar na jhukaauṅ ga zinhaar Naaib Rasul ka nahiṅ hota hai baada khwaar Maiṅ huṅ Janaab-e-Ahmad Mursal ki yaadgaar Kiuṅ ke pehna hua hai kufr ne Islam ka libaas
6 Daur-e-Yazid kosoṅ hai insaaniyat se dur Baatil ka ye tariqa hai haqqaaniyat se dur Kasrat hamesha rehti hai wahdaaniyat se dur Kiuṅ ke pehna hua hai kufr ne Islam ka libaas
7 Islam ko shahaadat-e-Shabbir chaahiye Taqdireṅ bhi badalti hai tadbir chaahiye Islaamiyat ko halqa-e-zanjir chaahiye Kiuṅ ke pehna hua hai kufr ne Islam ka libaas
8 Mazhar ye kis liye haq o baatil meiṅ jang hai Hairat kade meiṅ aalam-e-Islam dang hai Baad-e-Nabi zamaane ka kuchh aur rang hai Kiuṅ ke pehna hua hai kufr ne Islam ka libaas